insas rifle full jankari
5.56 MM INSAS RIFLE
LESSON
- 1
CHHOTE KUTAR KA VIKAS AUR
INSAS SE PARICHAY
Parichay.
1. Sena ko majbut aur tandrust rakhne ke liye
duniya mein ho rahi tabdiliyon ke sath kadam se kadam milakar chalne ki zarurat
parti hai. Pichhle chand ek varshon se
adhiktar desh ke small arms mein chhote kutar(calibre) ko apna rahe hain. Yeh
jang mein hue anubhav aur vivekshil soch vichar ka natija hai. Hamare desh ne bhi 5.56mm calibre ke chhote
kutar ke hathiyaron ko apnane ka faisla kiya hai.
Uddesh.
2. Duniya ke chhote hathiyaron ke kutar mein
badli aur INSAS ke bare mein jankari dena hai.
Bhag.
3. Yeh sabaq do bhagon mein banta gaya hai :-
(a) Duniya ke chhote hathiyaron ke kutar mein badli.
(b) 7.62 mm ke hathiyaron mein kamiyan aur INSAS project.
Bhag 1 :
Duniya ke Chhote Hathiyar ke Kutar Mein Badli
4. Unnisawin sadi (19 th Century) ke baad 11mm
se 12mm kutar ke hathiyar istemal hote
the. Uske baad 7mm se 8mm kutar kaafi der tak istemal hue lekin dwitiya vishwa
yudh (2nd World War) ke baad yeh yakin ho gaya ki chhote hathiyaron ka larai
mein effective range zyada se zyada 400 mtr tak hi hai jahan ki target ki
pahchan ki ja sakti hai. Is liye yeh
saaf ho gaya hai ki 7.62mm kutar ke hathiyar, zarurat se zyada takatwar ammunition fire karte hain aur zyada
wazandar aur zyada recoil force dete hain.
5. Rifle Fire Ke Vishleshan. Dwitiya Vishwa Yudh, Korea ki larai,
Vietnam ki larai ke Rifle fire ki visheshtaein is prakar hain :-
(a) 30% Engagement - 100 Mtr se kam rg Par.
(b) 70% Engagement - 200
Mtr se kam rg Par.
(c) 90% Engagement - 300 Mtr se kam rg Par.
(d) 95% Engagement - 400 Mtr se kam rg Par.
6. Dwitiya vishwa yudh ke baad, Russia ne
7.62mm x 39mm ke AK-47 hathiyar apnaye. Yeh hathiyar 7.62mm x 54mm ke
hathiyaron ke banishpat halke aur kam recoil wale the. Vietnam ki larai mein
America ke 7.62mm x 51mm wale M-14 hathiyar, AK-47 ke sammunitione achha
pradarshan nahin kar paye. AK-47 ke
halke wazan, kam recoil energy hone ke karan, zyada rapid fire karne se
percentage hit (PH) kafi achha tha.
7. Larai ke baad America aur baki desh milkar
badi research karne ke baad FN Belgium SS 109 ko apna ammunition mana. Is ammunition ka kutar 5.56mm hai.
8. Is tarah se yeh yakin ho gaya hai ki chhote
kutar ke ammunition ki muzzle velocity (MV) zyada aur ballistics achha hone ke
karan tgt hit hone ka chance bare kutar ke ammunition ke banishpat zyada hai.
9. Chhote kutar ke ammunition ke kuch faide :-
(a) Halka Hathiyar. Hathiyar ki
handling asan hoti hai aur fatigue kam
hota hai.
(b) Halka Ammunition. Kam load hota hai ya usi load mein jiada ammunition ata hai.
(c) Zyada Muzzle Velocity. Trajectory Chapta hota hai aur is karan hit chances barh jata hai.
(d) Recoil Energy Kam. Firer ko dhakka kam lagta hai jis ke
karan accuracy
barhti hai.
(e) Zyada Lethality. Ballistic
Stability achha hone ke karan lethality zyada
hota hai.
Bhag II :7.62mm Hathiyaron Mein Kamiyan Aur
INSAS Project.
10. Abhi Infantry section mein teen prakar ke
hathiyar hain joki do prakar ke ammunition ka istemal karte hain. Iske karan hamari trg, logistics, maint mein
bahut asuvidhayen hoti hain. Iski
kamiyan is prakar hain :-
(a) Infantry section ke hathiyaron mein farak aur chal ke
sidhant mein farak.
(b) Hathiyar ke banane mein kathinayi aur zyada samay lagna.
(c) Instructor aur student ke trg mein kathinayi.
(d) Maint mein kathinayi.
(e) Wazandar hathiyar.
11. Inhi kamiyon ko dur karne ke liye AROUNDE
mein Nov 79 mein ek conference hua. Is
conference mein niche likhe points ke upar naya weapon system banane ka prastav
rakha gaya :-
(a) Bharatiya hathiyaron ka vikas.
(b) Adhiktam hisse purzon ka ek jaise hona.
(c) LMG ki bipod par range 800 Mtr aur Tripod par 1000 Mtr.
(d) Rate of fire mein badhawa.
(e) Ammunition aur hathiyar ke wazan mein kami.
12. INSAS Project.Hamari sena ki
zaruraton ko dhyan mein rakhte hue aise hathiyaron ko banane ki zarurat thi jo
zarurat sudha rg par manzur sudha prabhav hasil kar sake. Isliye INSAS ammunition ko pahle banakar
INSAS hathiyaron ko phir banaya gaya.
13. INSAS Ammunition. INSAS Ammunition ki ek hi sarv pratham
zarurat rakhi gayi thi. Yeh zarurat thi
ki LMG 800 Mtr par prabhav shali fire dal sake.
Is ke liye avashyak tha ki aisa ammunition banaya jae jismein kam se kam
488 joules ka terminal energy ho. Kyon
ki kisi bhi unprotected tgt ko na kabil banane ke liye 81 joules ka energy hona zaruri hai. Agar target protected hai to protective item
mein ghusav hasil karne ke liye 407 joules energy ki zarurat hai.
14. Design. Ammunition aur hathiyar ka
design tafsil mein agle lesson mein diya gaya hai.
15. Sankshep. INSAS Parivar ke hathiyar aur ammunition
hamare hi desh mein banaye ja rahe hain.
Yeh hamare liye garv ki baat hai.
Is project mein kafi mehnat aur anusandhan kiya gaya hai. Is liye chand ek kranthkari aur adhunik
tabdiliyan karke INSAS felta ka rup pradan kiya gaya hai.
LESSON
- 1
CHHOTE KUTAR KA VIKAS AUR
INSAS SE PARICHAY
Q1. Hathiyar
ke kutar mein kya kya badli hui hai aur iski zarurat kya hai ?
Q 2. Chhote
hathiyaron ka larai mein zyada se zyada engagement kis range tak hota hai ?
Q 3. AK
47 ke ammunitionn ka naap ----------------x----------- hai jabki M 14 hathiyar
ki naap-------x---------- hai.
Q 4. Chhote
kutar ki muzzle velocity bare kutar se
--------------hoti hai.
Q 5. Chhote
kutar ke ammunition ke faide likho.
Q 6. Infantryantry
section mein teen prakar ke hathiyar hain is se kya asuvidhaen hoti hain ?
likho.
Q 7. Naye
hathiyar banane ke prastav mein kya baaten shamil hain? likho.
Q 8. Suraksha
kavach aur bina kavach ke target ko marne ke liye kitni energy (takat) zaruri
hai ?
LESSON-2
5.56
MM INSAS RIFLE AUR ACCESSORIES SE WAQFIAT
Pahunch.
1. Assault Rifle ya Rifle 5.56mm INSAS IA,
INSAS parivar ka mul hathiyar hai. Maujuda 7.62mm Rifle ki tulna mein yeh
hathiyar 25% halka, zyada compact aur ismen 70% kam recoil hone ke karan ise
chalana aur fire karna zyada aramdeh ho gaya hai. Is Rifle ke foldable butt
rupantar ko viksit kar, iski lambai ghata di gayi hai taki chhatadhari sainik
bhi ise asani se istemal kar saken.
Uddesh.
2. 5.56mm INSAS Rifle aur iski accessories ke
bare mein sikhana hai.
Saman.
3. 5.56mm INSAS Rifle, Sling, Magazine,
Bayonet, Gren Projector, Gren firing cartridge, safai ka saman aur ground
sheet.
Bhagon Mein Baant.
4. Yeh sabak teen bhagon mein banta gaya hai.
(a) Bhag I - 5.56mm INSAS Rifle ka zaruri data.
(b) Bhag II- INSAS Rifle ke hisse purzon ke naam aur kam.
(c) Bhag III - INSAS Rifle ki
accessories.
Bhag I - INSAS RIFLE KA JARURI DATA,
5. Visheshtaen
(a) Bina magazine kewal Rifle - 4.018 Kg
(b) Khali magazine ke sath - 4.108 Kg
(c) Bhari magazine ka wazan - 347 gm
(d) Folded butt ke sath - 3.2
Kg
(e) Bhari magazine ke sath Rifle - 4.365
Kg
(f) Khali Magazine ka wazan - 90 gms
(g) Bayonet ka wazan - 305
gm
(h) Fix butt ke sath lambai - 960mm
(j) Bayonet ke sath lambai - 1110mm
(k) Barrel ki lambai - 464mm
(l) Sight radius - 470mm
(m) Folded butt ke sath lambai - 750mm
(n) Extended butt ke sath lambai - 960mm
(o) Folded butt ki lambai - 200mm
(p) Bayonet ki lambai - 285mm
(q) Bayonet ka type : - Multi
purpose
(r) Bhari magazine ka wazan - 347 gms
(s) Grooves - 06 (RH)
(t) MV - 900 m/s
(u) Rate of Fire :-
(i) Normal - 60 RPM
(ii) Cont
burst - 90 RPM
(iii) Intense -
150 RPM
(iv) Cyclic - 600-650 RPM
(v) Penetration - 03 mm at 700m per MSP
(w) Fire kiye jane wala ammunition :-
(i) Ball
Rounds - 5.56 x 45 mm
(ii) Tracer
Rounds -
-do-
(iii) Blank
Rounds -
-do-
(iv) HD
Cart - 5.56 X 45 mm
(x) Mechanical Safety - Lock,
Unlock, Safety sear & Stem
(y) Trigger Pull - 2.1Kg
(z) Chalne ka Siddhant - Gas
ka Dabav, recoil
spring ki taqat.
BHAG II- INSAS RIFLE
KE HISSE PURZON KE NAAM AUR KAAM
6. INSAS Rifle ki banawat mein chand ek
adhunik tabdilian ki gayi hain. Is Rifle se ham teen round ka burst bhi fire
kar sakte hain.
INSAS
RIFLE KE HISSE PURZE
7. Yeh Rifle mote taur par 12 Assembly ki bani
hui hai. Yeh is prakar se hain:-
(a) Body Housing Assembly.
(b) Barrel Assembly.
(c) Handle Cocking Assembly.
(d) Piston Extension Assembly.
(e) Rotating Bolt Assembly.
(f) Recoil Spring Assembly.
(g) Trigger Mechanism.
(h) Cover Assembly.
(j) Butt Assembly.
(k) Pistol Grip.
(l) Hand Guard Assembly.
(m) Magazine Assembly.
Body Housing Assembly
(a) Body Housing. Yeh 1mm mota sheet metal ka bana hua hai.
Iske niche magazine, trigger aur pistol grip fit kiye gaye hain.
Body
Housing
(b) Barrel Extension. Yeh body mein rivet fitted hoti hai. Piece
guide bhi ismein hi fit kiya gaya hai. Iske pichhle hisse mein do locking
surfaces diye gaye hain jahan breech block lock hota hai.
Barrel
Extension
(c) Guard Trigger and Catch Magazine. Trigger guard body housing ke niche rivet fit hai.Iske sammunitione ek spring
loaded catch Magazine fitted hai.
(d) Block Rear. Yeh body housing par rivetted hai aur yeh
piston extension ki peechhe ki
harkat ko rokta hai.
Block
Rear
(e) Channel right and Channel left. Channel right safety sear aur channel left
ejector ko accomodate karta hai.
Right
Channel
Left
Channel
(f) Spacer. Yeh ek
cylinderindrical akar ka hota hai aur yeh body ko bulge hone se rokta hai.
9. Barrel Assembly. Ismen nimnlikhit hisse purze shamil hain:-
Barrel
Assembly
(a) Barrel. Goli ko sahi disha mein jane mein madad deta hai. Iske ander
bane grooves aur land Goli ko spin deta hai jisse use stability milti hai.
Barrel
(b) Guard Hand wa Cup Hand Guard. Rifle ko age se pakarne mein madad deta hai
aur uske sir par ek Cup laga hua hai.
Guard
Hand wa Cup Hand Guard
(c) Block Gas wa Plug Gas. Gas vent ke upar lagi puri assembly ko
block gas kahte hain. Gas Block ke ander
gas plug ko fit kiya gaya hai. Gas plug ke ander gas passage hole hota hai
jisse gas cylinderinder mein dakhil hoti hai.
Block
Gas wa Plug Gas
(d) Gas Regulator wa Gas Escape hole. Ismein exhaust type ka gas regulator
hota hai. Gas regulator gas ki matra ko control karta hai iski do position hoti
hai (low & High). Isko low par karne
se gas escape hole khul jata hai aur high par karne se escape hole band ho jata
hai jisse piston head par gas ka dabav badh jata hai.
(e) Lug Bayonet. Bayonet fit karne ke kam ata hai.
(f) Loop Sling Front.
Sling lagane ke liye hota hai.
(g) Fore Sight.
Gas Block ke upar fit hota hai.
Yeh pole type ki hoti hai.
(h) Flash Eliminator. Paida hone wale shole ki tivrata ko
kam karta hai wa Gren Projector ka kam bhi karta hai.
Flash
Eliminator
(j) Gas Plug Operating Handle. Gas
plug ke hole wa gas vent ko saf karne ke liye istemal kiya jata hai.
10. Handle Cocking Assembly . Cocking Handle Hathiyar ko cock karne mein madad deta
hai. Slide ke agle hisse par ander ki
taraf ek lug hota hai. Jo piston ko
pichhe dhakelta hai. Iske hisse purze is parkar se hain:-
(a) Slide cocking handle.
(b) Catch cocking handle / Cocking lug.
(c) Plunger cocking handle.
(d) Pin cocking handle.
(e) Cocking handle.
Handle
Cocking Assembly
11. Piston Extension Assembly. Chal
Wale purjon ko gas ke dabav se unlock wa pichhe ki harkat mein madad deta
hai.Iske hisse purzon ke nam is prakar hain:-
(a) Piston.
(b) Piston Extension.
(c) Rivet piston extension.
Piston
Extension Assembly
12. Rotating Bolt Assembly. Yeh
Assembly nimn hisse purzon se milkar bani hai.
(a) Rotating bolt.
(b) Extractor.
(c) Spring Extractor.
(d) Pin Extractor.
(e) Pin firing.
(f) Pin locking pin firing.
(g) Cam.
(h) Locking lug.
(j) Feed piece.
Breech
Block Assembly.
13. Recoil Spring Assembly. Recoil
spring ke do guide hote hain. Dono siron par stopper laga hota hai, guide piece
ka agla sira stopper front se aur pichla sira stopper rear se laga hota hai.Is
Assembly mein nimnlikhit hisse purze hote hain:-
(a) Spring recoil.
(b) Guide recoil spring.
(c) Retainer.
(d) Stopper.
Recoil
Spring Assembly
14. Trigger Mechanism. Trigger mech ko niminlikhat hisson mein banta
gaya hai:-
(b) Spring safety sear.
(c) Pin safety sear.
(d) Hammer.
(e) Spring hammer.
(f) Pawl hammer.
(g) Spring pawl hammer.
(h) Pin pawl hammer.
(j) Pin axis hammer.
(k) Trigger.
(l) Sear auxiliary.
(m) Spring sear auxiliary.
(n) Pin trigger sear.
(o) Wheel.
(p) Plunger.
(q) Spring plunger.
(r) Stud lever change. Trigger Mechanism
15. Cover Assembly. Yeh nimnlikhit hisse purzon ki bani hui hai:-
(a) Cover.
(b) Housing rear sight.
(c) Rear sight.
(d) Leaf sping.
(e) Screw axis rear sight.
(f) Wheel.
(h) Spring Plunger.
(j) Hinge.
Cover
Assembly.
16. Butt Assembly. Butt Assembly ke parts is prakar hain :-
(a) Butt.
(b) Butt Plate.
(c) Loop sling rear.
(d) Butt Trap.
Fixed
butt assembly
17. INSAS mein folding butt bhi ata hai. Uske
hisse purze is prakar hain:-
(a) Tube upper.
(b) Tube lower.
(c) Plate end butt.
(d) Piece hinge.
Foldable
butt assembly
18. Pistol Grip wa Block Firing Pistol Grip. Yeh plastic ka bana hota hai aur ek screw aur
block ki madad se body housing ke sath butt aur trigger guard ke beech laga
hota hai.
Pistol
Grip
19. Hand Guard. Hand guard plastic ka bana hota hai. Yeh cup
hand guard aur grooves ki madad se hathiyar ke upar fit kiya hua hai. Iske
hisse purze is prakar se hain:-
(a) Handguard.
(b) Reflector.
(c) Leaf Spring hand guard.
Hand
guard assemly
Upper hand guard
20. Magazine Assembly wa Magazine Catch Magazine Assembly ke parts is prakar hain :-
(a) Magazine casing
(b) Plate form
(c) Retainer plate
(d) Bottom plate
(e) Spring
Magazine
Assembly
BHAG III -
ACCESSORIES
21. Is
hathiyar ke sath nimnlikhit accessories di gai hain:-
(a) Sling Carrying.
(b) Blank Firing Attachment.
(c) Muzzle Cover.
(d) Bayonet.
(e) Passive Night Sight(PNS) (Optional).
(f) Day Light Telescope(TDLS) (Optional).
22. Sling Carrying. Is Rifle ke sath nylon sling diya gaya hai.
Sling
Carrying
23. Blank Firing Attachment. Is ki madad se ham blank round automatic fire
kar sakte hain.
Blank Firing Attachment
24. Muzzle Cover. Ek sadharan plastic muzzle cover is Rifle ke
sath diya hai. Yeh muzzle par slide fit ho jata hai. Yeh barrel mein dhool wa
pani jane se rokta hai.
25. Bayonet. Isse nimn kamon mein istemal mein laya jata
hai:-
(a) Dagger.
(b) Wire cutter.
(c) Screw driver.
(d) Hammer.
(e) Saw.
(f) Bottle Opener.
Bayonet
and Scabbard
Muzzle
Cover
26. Passive Night Sight (Optional).
Iska vivaran Appendix 'A' mein diya hai.
27. Day light Telescope (Optional). Iska vivaran Appendix 'B' mein diya hai.
28. Tulanatmak Data. 7.62 mm SLR aur 5.56 mm INSAS Rifle ka
tulanatmak data Appendix 'C' mein diya hai.
LESSON
- 2 : EK NAZAR
1. Zaruri technical data: -
(a) Wazan - 4.018 Kg.
(b) M/V - 900 m/s
(c) Penetration - 3mm 700 mtr par(MSP)
(d) 4 Prakar ka Ammunition fire hota hai.
(e) Bayonet multi purpose.
2. Yeh
Rifle mote taur par 12 Assembly ki bani hui hai. Yeh is prakar se hain : -
(a) Body Housing Assembly.
(b) Barrel Assembly.
(c) Handle Cocking Assembly.
(d) Piston Extension Assembly.
(e) Breech BlockRotating
Bolt Assembly.
(f) Recoil Spring Assembly.
(g) Trigger Mechanism.
(h) Cover Assembly.
(j) Butt Assembly.
(k) Pistol Grip.
(l) Hand Guard Assembly.
(m) Magazine Assembly.
3. Is hathiyar ke saath niminalikhit
accessories di gai hain
(a) Sling Carrying.
(b) Blank Firing attachment.
(c) Muzzle Cover.
(d) Bayonet.
(e) Passive Night Sight (Optional).
(f) Day Light Telescope (Optional).
LESSON
2
INSAS
Rifle AUR ACCESSORIES SE PARICHAY
Q 1. 7.62
mm SLR aur 5.56 mm INSAS ke mukhya Farq likho?
Q 2. INSAS
Rifle ke vibhinn assemblies aur hisse likho
?
Q 3. Nimnlikhit assemblies ke hisse aur unke
kaam lilcho ?
(a) Body housing Assembly.
(b) Barrel Assembly.
(c) Handle cocking Assembly.
(d) Piston aur piston extension Assembly.
(e) Breech block Assembly.
(f) Recoil spring Assembly.
(g) Trigger mech.
(h) Cover Assembly.
(j) Butt Assembly.
(k) Piston grip/block firing piston grip.
(l) Hand guard.
(m) Magazine Assembly.
Q 4. INSAS Rifle ke saath mein kya accessories
aate hain ?
Q 5. INSAS Rifle ke multi purpose bayonet ke
kaam likho ?
Q 6. Passive night sight ki vishestaen likho ?
Q 7. Day light telescopic sight ki vishestaen
likho ?
Q 8. Under trial INSAS tracer arnn ka ek chitra
banao.
Q 9. 5.56 mm
INSAS cartridge ka kul wazan likho?
LESSON
- 3
5.56MM
INSAS RIFLE KE AMMUNITION SE WAQFIAT
Aam Bayan
1. 5.56mm INSAS Rifle, LMG aur Carbine se ek
hi kism ka ammunition fire hota hai.
INSAS Rifle se 4 kism ka ammunition fire hote hai. INSAS mein Ball, Tracer, Blank, Ballistic/ HD
Carts(High Density Carts) fire kar sakte hain.
Uddesh
2. 5.56MM ammunition ke bare mein jankari
dena.
3. Ball Ammunition: Iska istemal tgt ko barbad karne ke
liye kiya jata hai. 5.56mm INSAS ke liye ball ammunition ka mudda hai ki LMG
(Fixed Butt) se fire karne par 700 mtr tak kargar fire dalen. Yeh mudda hasil
karne ke liye ball ammunition mein NATO ammunition ke banishpat yeh sudhar kiya
hai :-
(a) Bullet ka ballistic shape zyada achha hai.
(b) Bullet ka mass zyada hai.
(c) Bullet inert steel ka banaya gaya hai taki zyada
ghusav hasil ho sake.
4. Ball ammunition ka technical data :-
Round 5.56
x 45 MM 5.56
x 45MM
INSAS
MK I FNSS109
NATO
(a) Calibre 5.56
x 45 5.56 x
45
(b) Cartridge ki Lambai 60mm 57.3 mm
(c) Cartridge ka wazan 12.85 g 12.42
g
Case 5.56 x 45 MM 5.56 x 45MM
INSAS
MK I FNSS109
NATO
(a) Type Rimless bottle necked Rimless bottlenecked
(b) Lambai 45mm
45mm
Bullet
(a) Type Boat Tailed Boat Talied
(b) Wazan 4.16 gm 4.00 gm
(c) Lambai 24.50 mm 23.50 mm
(d) Envelope Gilding Metal Gilding
Metal
(e) Core Lead With Steel tip Lead With Steel tip
Ball Bullet
Cap
(a) Type Boxer Beroundan
(b) Composition FA
956 FA
956
Propellent
(a) Type Ball
Powder Ball
powder
(b) Charge ka wt 1.61 gm 1.65
gm
Ballistic Data
(a) MV 915 m/s 945 m/s
(b) Mean
Pressure 330 Kg 330 Kg
(c) Max
Rg 3300 m 3100 m
(d) Max
Kargar rg 1000 m 500 m
Blank
Cartridge
5. Blank round trg ke dauran firing ki awaz
ko darshane ke liye banaya gaya hai.
Iska technical data is prakar hain :-
(a) Cartridge
(i) Mass (Wazan) -
8.1 g
(ii) Lambai - 57.5
mm
(b) Case
(i) Wazan -
7.53 g
(ii) Lambai - 57.5 mm
(c) Bullet Case ke sath shamil hai.
(d) Propellant
(i) Type -
SPA II
(ii) Wazan - 0.480 gm
(e) Primer
(i) Type -
Boxer
(ii) Composition -
Lead styphnate FA 956
(f) Sound
Level - 95 db
(g) Safety
distance - 3 m
(h) Auto
Firing - Blank firing attachment muzzle ke age
fit hota hai.
6. HD/Ballistics Carts.. Istemal Rifle gren ko fire karne ke liye kiya
jata hai. Iski banawat Blank round ki tarah hoti hai, lekin ismen proplent
adhik hota hai.
7. Tracer Round. Tracer Round mar trajectory ko
darshane aur firer ki accuracy ko dekhne ke liye banaya gaya hai.
Gen Purpose Anti
Personnel Grenade.
8. INSAS 5.56 mm Rifle se gen purpose anti
personnel gren bhi fire kiya jata hai.
Yeh gren offensive aur defensive type ka hai. Offensive gren mein splinters nahi hote,
jabki defensive gren mein splinters ek fragmentation sleeve mein hote
hain. Yeh gren Rifle ya hath se launch
kar sakte hain.
9. Technical data is prakar hai :-
(a) Modes. Offensive, Defensive aur Rifle modes, Ek hi kism ka fuze. Ball/
Gas cart se launch hota hai.
(b) Wazan.
(i) Offensive Gren - 270 g
(ii) Defensive Gren - 500 g
(iii) Rifle Gren - 675 g
(c) Size.
(i) Lambai - 235 mm/ with Tube launching
(ii) Max
Diameter - 60 mm
(d) Fuze. Percussion aur delay fuze arming delay: 05 sec.
(e) Lethality. 4500 fragments hote hai. Ek fragment ka wazan 32-40 mg aur 8 mtr tak
maar sakta hai.
(f) Safety. 20 m se dur koi khatra nahin hain. Prime karne se pahle para dropping ke liye
istemal kar sakte hain.
(g) Explosive.100 gm ROUNDX/TNT 60
: 40.
10. Offensive Gren. Offensive gren tab fire kiya jata hai jab Kam
ilake mein nuksan karna chahte hain. e.g. Def mein dushman ke upar assault
karte samay.
11. Defensive Gren. Defensive gren ka istemal tab kiya
jata hai jab dushman ka phailav jiada ho aur hum nuksan jiada ilake ke upar
karna chahte hain.
12. Safety
(a) Para drop karna munasif hai.
(b) Fuze ko kitni bar bhi laga kar nikal sakte
hain.
(c) Unprimed
condition mein 100 pratishat safe hai.
(d) - 50 degree se 75 degree Celsius tak istemal
kar sakte hain.
(e) Humidity ka koi asar nahin hota hai.
Grenade Rifle No 36 M & Tube Launcher 1A
Grenade firing Position
Grenade Rifle No 36 M
Assembled on Rifle
Rifle 5.56mm (INSAS) &
Rifle Grenade No 36 M
LESSON
3 : EK NAZAR
Ball Ammunition.
1. 5.56mm INSAS ke liye ball ammunition
ka mudda hai ki LMG (Fixed Butt) se fire
karne par 700 Mtr tak kargar fire dalen.
Yeh mudda hasil karne ke liye ball ammunition mein NATO ammunition ke
banishpat yeh sudhar kiya hai :-
(a) Bullet ka ballistic shape zyada achha hai.
(b) Bullet ka mass zyada hai.
(c) Bullet inert steel ka banaya gaya hai taki zyada
ghusav hasil ho sake.
Gen Purpose Anti
Personnel Grenade.
2. INSAS 5.56mm Rifle se gen purpose anti
personnel gren bhi fire kiya jata hai.
Yeh Gren offensive aur defensive type ka hai. Offensive gren mein splinters nahi hote,
jabki defensive gren main splinters ek fragmentation sleeve mein hote
hain. Yeh gren Rifle ya hath se launch
kar sakte hain.
3. Offensive Gren. Offensive gren tab fire kiya jata hai jab hum kam ilaqe mein nuksan karna
chahte hon. e.g, Def mein dushammunition ke upar assault karte samay.
4. Defensive Gren. Defensive gren ka istemal tab kiya jata hai
jab dushman ka phailav zyada ho aur hum nuksan jiada ilake mein karna chahte
hain.
5. Safety.
(a) Para drop karna munasif hai.
(b) Fuze ko kitni bar bhi laga kar nikal sakte
hain.
(c) Unprimed condition mein 100 pratishat safe
hai.
(d) -50 Degree se 75 degree C tak istemal kar
sakte hain.
(e) Humidity ka koi asar nahin hota hai.
(f) 15 sal tak umar hai.
LESSON
3
INSAS KA
AMMUNITION
Q1. INSAS Ammunition ki kismein likho ?
Q2. INSAS
ammunition ka peak pressure kya hai ?
Q3. INSAS ammunition ka figure of merit kya hai
aur kaise nikala jata hai ?
Q4. INSAS ammunition charge ki banawat likho ?
Q5. INSAS ammunition ke tracer Round ka chitra
banao ?
Q6. INSAS am ki 7.62 mm ammunition se tulna
karen ?
Q7. INSAS ammunition ke cartridge ka kul wazan
likho ?
Q8. INSAS ballistics Cart ka data likho ?
Q9. Blank cart ka
technical data likho ?
LESSON
- 4
5.56
MM INSAS RIFLE KA KHOLNA, JORNA AUR SAFAI
Pahunch.
1. Assault Rifle ya Rifle 5.56mm INSAS, ek
jawan ka jaati hathiyar hai. Iski dekhbhal karna jawan ki apni jawabdari hai.
Iski maint kaafi aasan hai. Isko asani se khola aur joda ja sakta hai. Islie
takih yeh hathiyar samay parne par kam aa sake aur dhokha na de, iski safai
karana bahut hi jaruri hai.
Uddesh.
2. 5.56mm INSAS Rifle se waqfiat, kholna,
safai aur jorne ka tarika sikhana hai.
Samaan.
3. 5.56mm INSAS Rifle, Magazine, cartridge,
safai ka saman aur ground sheet.
Bhagon Mein Baant.
4. Yeh sabak teen bhagon mein banta gaya hai:-
(a) Bhag I - 5.56mm INSAS Rifle ko kholna.
(b) Bhag II- INSAS Rifle ka jorna.
(c) Bhag III - INSAS Rifle ka
safai.
Bhag I - INSAS RIFLE
KA KHOLNA.
5. Rifle ko Kholne ka tarika is prakar se hai
:-
(a) Magazine kholna. Magazine ko bayen hath se pakre aur magazine
catch ko anguthe se age ki aur dabate hue nikalen.
(b) Assembly cover kholna. Rifle ko cock karen. Change lever ki position
“S” par karen. Lever locking retainer ko bayen hath ki madad se dabayen aur
dahine hath ke anguthe se retainer ko age ki aur dabayen. Jab retainer age aa
jaye to locking retainer se dabav hata len, taki pichhe ka opening cover
retainer se ajad ho jaye, Ab assembly cover ko upar ki taraf uthae aur age ki
taraf kar len.
(c) Recoil Spring Assembly ko Nikalna.
Retainer ko dabate hue recoil spring assembly ¦ko guide se juda karen aur
recoil spring assembly ko bahar nikalen.
(d) Piston Extension Assembly ko Nikalna. Piston extension ke pichhle hisse ko pakren
aur niche dabate hue bahar ki taraf nikalen.
Piston
Extension ko nikaalna
(e) Breech Block ko Nikalna. Is ke
liye piston extension ko bayen hath se ulta pakren. Dahine hath se breach block
ko is ke recess se juda karen.
(f) Firing pin ko Kholna. Locking pin
ko drift ki madad se nikalen. Aise karne se firing pin bahar aa jaega.
(g) Gas plug aur Projector Sight ko
Nikalna. Drift ki madad se pin fixing gas plug ko nikale aur gas plug
ko dabate hue gas block ko bahar nikalen. Ab projector sight bhi nikal jayega.
(h) Hand Guard kholna. Hand guard
ka agla kinara gas block ke pass cup mein hota hai. Pin locking ko sidha khara
karen aur drift ki madad se isse bahar nikalen. Cup ko gas block ki taraf
khiskate hue hand guard ko bahar nikalen.
(j) Magazine Kholna. Retainer
dimple ko dabate hue bottom plate ko
nikalen. Retainer spring aur plate form ko bhi bahar nikalen.
Magazine
Assembly
Bhag II : Jorna.
6. Rifle ke hisse purje jis tarah khole jate
hain thik uske vipreet jore jate hain. Iske liye karwai is prakar karen :-
(a) Magazine ko jorna (Agar Khola gaya hai to).
(b) Extractor aur firing pin ko jorna (Agar
khola gaya hai to).
(c) Hand Guard ko jorna.
(d) Piston extension aur breech block ko jorna.
(e) Piston extension Assembly ko gas cylinder wa
baracket mein dalna.
(f) Piston extension mein recoil spring
Assembly ko dalna.
(g) Body housing mein piston extension Assembly
aur recoil spring ko dalna.
(h) Cover Assembly ko band karna aur retainer ko
lock karna.
(j) Magazine ko lagana.
Magazine
Kholna (Ref Para 5(a))
Assembly
Cover Kholna (Ref Para 5(b))
Recoil
Spring Assembly Kholna (Ref Para 5 (c))
Breech
Block Assembly Kholna (Ref Para 5(e))
Firing
Pin Kholna (Ref Para 5 (f))
Extractor
Nikalna (Ref Para 5(g))
Cover
Assembly Kholna (Ref Para 5 (h)
7. Rifle ke hisse purjon ko jorne ke baad
Rifle ki janch is prakar karo.
(a) Magazine ko nikalen.
(b) Change lever ko “R” par karen.
(c) Rifle ko cock karen.
(d) Yakin karen ki piston extension puri tarah
age gaya hai ya nahi.
(e) Change lever ko “S” par karen.
(f) Trigger ko dabane ki koshish karen woh nahi
dabega.
Bhag III - Safai.
8. Yeh jaruri hai ki Rifle ki thik tarah se
saaf safai ki jaye aur usmein thik se tel lagaya jaye taki woh bina rukawat ke
asani se chalai ja sake. Iski safai ke liye nimin likhit chijon ki jarurat
paregi :-
(a) Oil “A” with oil bottle
(b) Brush cleaning bore
(c) Brush cleaning chamber
(d) Pullthrough
(e) Rod cleaning barrel
(f) Tool adjusting fore sight/rear sight
(g) Tool removing ruptured case
(h) Chindi
(j) Drift
Note. Rifle ki safai wa
rakh rakhao mein kisi ghisne ya ragarne wali samagri ka istemal nahi karna
chahiye.
9. Firing se pahle ki safai. Rifle ko field strip karke sabhi purjon
ki safai karne ke sath sath unki tut fut ki janch karni hogi. Yeh Armourer ka
kaam hai ki woh tut fut wale purjon ko badli kar den. Magazine aur ammunition
ko bhi saaf karna chahiye aur uski tut fut ki janch karna. Niminlikhit ke
anusar kuchh purjon mein tel diya jayega aur kuchh mein nahi diya jayega.
Purjon ko Tel Lagana Purjon
ko Tel Nahi Lagana
Breach block face ko
chor kar Barrel.
pure breech block.
Magazine catch. Cylinderlinder
Gas.
Trigger Mech. Plug
Gas.
Recoil spring
Assembly. Piston
extension Assembly.
Rifle ke bahar.
Magazine plate form
Sight.
10. Firing ke baad. Rifle ko field strip kar uski safai
karen aur pull-through aur chindi ki madad se bore ko is prakar saaf karen ki
usmen gilapan na rahe. Ab bore mein tel laga den. Brush cleaning cylinder mein tel lagakar usse cylinder gas ko saaf
karen. Chindi aur pulthrough ki madad se cylinder ko is prakar saaf karen ki is
mein gilapan na rahe. Jab safai ka kaam samapat ho jaye to Rifle ke andurni
bhagon mein tel laga den. Gason se prabhavit purje jaise breech block, gas
plug, piston, piston extension aur firing pin ko savdhani se saaf kare taki
unmein se gas fouling dur ki ja sake. Purjon ko saaf karne ke bad us mein tel
lagana chahiye. Is ke alawa Rifle ke dusre hisse purjon ko kapra ya sutar ki
madad se saaf karna chahiye. Rifle ki bahri satah ko tel wale kapre dwara jor
se nahi ragarna chahiye. In jaghon se dhool jharne ke liye kapre ka istemal
karna chahiye. Yadi Rifle nami ya dhul wale mausam mein pari rahi ho to uski
magazine ko khol kar saaf karna chahiye. Agar magazine saaf dikhai deti hai to
use bar bar kholne ki jarurat nahi hai.
11. Asamanya Mausami Avastha. Jyada thande mausam mein istemal karne ke
liye Rifle ko karger banane ke liye uske sabhi purjon ko k/Oil aur OX 13 ke
misran ko istemal karna chahiye. Iske atrikat Rifle se fire karne se pahle ek do
bar cock kar lena chahiye.
12. Lubrication. Niminlikhit Tapman mein prayog karne wale
lubricant ki suchi is prakar hai:-
Istemal Tapman Lubricant
4 Degree C aur
adhik Oil
OX 52
4 degree C se
-18 Degree C Oil
OX 13
Body aur -18 degree se -40 Degree C 1:1 ki matra mein
oil trigger mech OX
13 aur badiya
ke sabhi purje quality
ka K/Oil. (ASC/9140-000008
ka mishran).
-40 degree C se
-50 Degree C 2:3 ki
matra mein oil
OX
13 aur badiya quality
K/oil ka mishran.
Chindi ka size.
(a) Safai ke lie - 4" x
1.5"
(b) Oil - 4" x 1"
13. Instructor Note.
(a) Sabak
ke dauran Rifle ke jis hisse purje ka aap istemal karen usi hisse purje ka naam
aur kaam sath- sath batate jao.
(b) Jawan
ko batao ki Rifle ko cock karne ke liye cocking handle ko pura pichhe khinche
aur pure taur par chhor den. Kabi bhi cocking handle ko pakre pakre purjon ko
age na jane den.
LESSON-4
: EK NAZAR
Rifle
ko kholne ka tarika
Magazine
¦
Assembly
Cover
¦
Recoil
Spring
¦
Piston
Extension
¦
Breech
Block
¦
Firing
Pin
¦
Gas
Plug
¦
Hand
Guard
¦
Magazine
Rifle
ko Jorna
Rifle ko jis kram
mein khola gaya hai uske ulte kram mein jora jae.
Safai
**
Firing se pahle ki safai
**
Firing ke bad ki safai
**
Bhin bhin mausam ki safai
LESSON
- 5
5.56MM
INSAS RIFLE KE MAGAZINE BHARNA,
KHALI
KARNA, RIFLE BHARNA, SIGHT LAGANA,
MAKE
SAFE AUR KHALI KARNA
Pahunch.
1. Ek jawan ko 5.56mm INSAS Rifle ko kholna,
jorna aur safai karne ka tariqa seekh lena hi kafi nahin hai. Balki tezi aur
durusti se dushman par kargar kamyabi pane ke liye magazine bharna, sisht
lagana ana chahiye,taki Sighton ka sahi istemal karte hue fire kar sake. Sath
hi larai ke maidan ya test fire ke dauran sammunitione koi jandar bastu nikal
aye to unko bachane ke liye make safe ka tariqa bhi ana chahiye. Is Rifle se
bagair rim wala ammunition fire kiya jata hai. Ek carton mein 10 round ate hai.
Kyonki yeh ammunition carton mein ata hai, is liye is ammunition ko filler se
nahi bhara jata hai.
Uddesh.
2. 5.56mm INSAS Rifle ke magazine ka bharna,
INSAS Rifle ka bharna, khali karna, sight lagana aur make safe karne ka tarika
sikhana hai.
Samaan.
3. INSAS Rifle, Magazine, drill carts, 1' x 1'
target, small pointer aur ground sheet.
Bhagon Mein Baant.
4. (a) Bhag I -
INSAS Magazine ko Bharna aur Khali Karna
(b) Bhag II - Sight Lagana aur uspar Range hasil Karna
(c)
Bhag III- Rifle
Bharna, Ready, Make Safe aur Khali Karna.
Bhag I - INSAS Rifle
ki magazine ka bharna aur khali karna.
5. Ammunition ki Safai.Round ko le
aur samay hai to kisi saf kapare se ek-ek karke saf karen. Agar jaldi hai to
kai roundon ki ek saath safai ki ja sakti hai lekin dhyan rahe ki ek dusare
round mein gharshan nahi hona chahiye. Ammunition ko Saf karke ground sheet ya kisi saaf jagah
par rakhe.
6. Magazine ka Bharna. INSAS
Rifle ke magazine ka bharna aur khali karna hu-ba-hu 7.62mm LMG ke tarah hai
farq sirf itna hai ki 7.62mm LMG ka Magazine lohe ka bana hua hai aur yeh fiber
glass ka bana hone ke karan round bahar se dikhai deta hai. Iske round carton ke andar hone ke karan
filler ka istemal nahi kiya jata hai(Namuna bayan ke sath aur class sath sath
naqal karega). Magazine ko len aur check karen. Magazine kahin se tuta hua to
nahi hai, uske platform sahi aur spring thik kaam kar raha hai, agar in sabhi
bataye gaye baton mein koi nuks hai to us magazine ko istemal na kiya jae. Agar sahi hai to use kisi saaf jagah par
rakhen. Magazine ko len aur, magazine ka chhotta diwar apne taraf aur bara
diwar bahar ki taraf rakhte hue Ground sheet, Raan ya boot ke toe ke upar
rakhte hue, donon hathon ke anguli aur angutha ke sahare se ek-ek kar round
bharen. Bharte samay agar koi round gir
jae to use bad mein saf kar magazine mein bharen. Yeh yakin karen ki round ka pichhla hissa
magazine ke diwar ke andar wale bhag se laga hua hai. Is prakar ek magazine mein 20 Rounds bhare ja
sakte hai. Lekin (Desert) Registhan ke ilaqe mein magazine ke sahi function ke
liye isme 18 Rounds bhare jate hai.
7. Magazine ka khali karna.
(Namuna Bayan se) Magazine ko len. Bayen hath ki char unguli upar se angutha
andar se grip karte hue chhote mahrao ko zamin ke taraf rakh kar ek round ke
barkhilaf kisi nukili chiz se madhya mein dabayen round nikal jaega. Khali karane ke liye agar Round ka istemal
kar rahe ho to ek do round ke baad badli kiya jae. Rounds ka girao saaf jagah par hona chahiye.
Bhag II Sight Lagana
8. 5.56mm INSAS Rifle ke upar char prakar ki
sight system ki suvidha di gai hai.
(a) Open Sight
(b) Telescopic Day Light Sight
(c) Passive Night Sight
(d) Beta Night Sight
9. Open Sight(Class close karo
aur sight sambandhi hisse purjon ke naam batao).
(a) Front open sight
(i) Fore sight tip
(ii) Locking nut
(iii) Fore sight protector
(b) Rear open sight
(i) Housing rear sight
(ii) Rear sight
(iii) Leaf spring
(iv) Screw axis rear sight
(v) Plunger
(vi) Rivet
10. Rear open sight Rear open sight par do lips bane hue hain,
pahle par 2 likha hua hai jo 200m ke range ko zahir karta hai. Dusra jismen 4
likha hua hai woh 400m ke range ko zahir karta hai. Agar 300m Range aur 100 mtr
rg hasil karna ho to POA mein Tabdili karna parta hai. Yah agle lesson mein
cover kia gaya hai.
11. Telescope
Day Light Sight (TDLS). Iske saath din ke samay durust, asan aur
prabharshali tariqe se din ke samay fire kiya ja sakta hai. visheshtaen is prakar hain :-
(a) Size - 255mm lamba aur 65mm dia
(b) Weight - 485gm
(c) Magazinenification - 4x
(d) Field of View - 15
degrees
(e) Engagement - Adjustment in Zeroing graticul
provided
(f) Range - 400mtr
(g) Principle - Line
of Sight
(h) Exit Pupil Dia - 6mm
(j) Eye Clearance - 40mm
(k) Eye Piece - Fixed focuse Monoculler Pattern
(f) Temp:-
(i) Operating (-) 40 Degree C se (+) 55 Degree C.
(ii) Operating (-) 40 Degree C se
(+) 70 Degree C.
12. Passive Night Sight (Optional).
Iski visheshtaen yeh hain :-
(a) Size - 281
mm long & 70 mm dia
(b) Principle of top - Imagazinee Intensification
(c) Field of view - 10 degree
(d) Magazinenification - 4x
(e) Range recognition - 200m
(f) Detection - 300m
(g) Bore sighting/Zeroing - Adjustment of
the graticule for
boresighting/zeroingprovided
(h) Weight - 1.65 Kg
(j) Exit pupil dia - 6mm
(k) Eye clearance - 22mm
(l) Eye piece - Monocular variable focus
(m) Temp:-
(i) Operating (-) 30 Degree C se
(+) 45 Degree C
(ii) Storage (-) 30 Degree C se (+) 65 Degree
Chawa ka prabhav batao.
DOVETAIL ON COVER
PASSIVE NIGHT SIGHT
13. Night Beta Sight. Raat mein tgt par roshni ho to open sight ki
tarah istemal karke tgt ko engage kar sakte hain.
14. Abhyaas. Sabhi prakar ke sight ke dwara range hasil
karne par abhyas liya jaega.
Bhag III - Rifle Bharna, Ready, Make Safe aur Khali Karna.
15. Jab Rifle par bhari magazine ho aur change
lever “S” par ho to Rifle bhari mani jati hai. Jab Rifle cock ho aur chamber ke
ander round ho aur change lever “R” ya “B” par ho to Rifle ready mani jati hai.
Jab Rifle mein round na ho magazine khali ho aur change lever ki position “S”
par ho to Rifle khali mani jati hai.
16. Bhar ke hukam par karwai. Jab Firer ko tgt dikhai de ya trg ke dauran
adesh mile bhar to karwai is prakar karen (Namuna Bayan se) change lever ke position ko “S” par karen,
Magazine catch dabate hue khali magazine ko utaren. Pouch mein rakhen. Pouch se
bhari magazine check karte hue magazine ay mein dakhil karen. Yekin karen
magazine thik baith gaya hai, pouch ka button band karen aur bayan hath fore hand guard par.
17. Ready. Ready us waqt kiya jata hai, jab firer fire
karne ka irada rakhta ho, tgt dikhai de, ya adesh mile ready, to ready ki
karwai ki jati hai. (namuna bayan se)
Ready ke adesh par change lever ka position ko ‘R’ ya ‘B’ par karen,
Rifle ko cock karen, butt kandhe ka milap karen, kalme wali ungli trigger par
aur agale hukum ka intzaar karen.
18. Make safe.
(a) Kalme wali ungli ko trigger se alag karen,
change lever ki position “S” par karen, pouch ka button kholen, bhari magazine
ko utaren aur pouch mein rakhen.
(b) Rifle ko dahine turn karte hue cock karen
aur cocking handle ko age chhor den.
(c) Change lever ka position “R” par karen aur
trigger dabayen.
(d) Change lever ka position “S” par karen.
(e) Bhari hui magazine ka mulahija karte hue
Rifle par charha den.
(f) Zamin par gire hue rounds ko uthaen, saaf
karen aur dusre magazine mein bhar den,magazine ko pouch mein band karen.
19. Khali karna. Khali kar ke hukam par make safe ki karwai
karen par akhir mein bhari magazine ki jagah khali magazine charha den aur yeh
karwai sawal-aur-jawab se karen.
20. (a)
Class se swal-aur-jawab se.
(b) Class ko khas taur par yeh baten batai jayen :-
(i) Ammunition ki safai.
(ii) Teji aur durusti se Rifle ka bharna aur
khali karna. Teji ke bajae durusti par jyada jor diya jae.
LESSON
5 : EK NAZAR
SIGHTS
INSAS RIFLE
Open
Sight Telescopic Sight
PNS
INSAS
Rifle ki magazine Filler se nahin bhari jati hai
Make
safe ki karwai ke ant mein bhari magazine charhai jati hai
Khali
kar ki karwai ke ant mein magazine charhai jati hai
INSAS
RIFLE KE MAGAZINE KA BHARNA, KHALI
KARNA, RIFLE KA
BHARNA,
KHALI KARNA, SIGHT LAGANA, READY MAKE SAFE
AUR
KHALI KARNA
Q.1 INSAS Rifle aur SLR ki magazine mein
vibhinntaen likho ?
Q.2 INSAS Rifle ke
upar kitne prakar ke sight lagayi ja sakti hai ?
Q.3 Open sigt ke hisse purjon ke naam likho ?
Q.4 Bhar ke adesh par kya karwai ki jati hai ?
Q.5 Ready ke adesh par kya karwai ki jati hai ?
Q.6 Make safe ki
karwai kab aur kaise ki jati hai ?
Q.7 Make safe aur khali kar mein kya antar hai ?
Q.8 Beta light sight kyon istemal ki jati hai ?
LESSON
- 6
BHINN-BHINN
POSITIONS SE 5.56 MM INSAS RIFLE
KI DURUST PAKAR HASIL
KARNA
Pahunch.
1. Rifle ko kai position se fire kiya jata hai
lekin position aisa hona chahiye kih asani se ikhtiyar kiya ja sake aur
hathiyar par majbut pakar hasil kar sake. Larai ke maidan mein kis position ka
istemal kiya jae woh banawati aur kudrati arh par nirbhar karega. Isliye har ek jawan ko arh ka istemal karte
hue durust position lena aur har ek position mein hathiyar par durust pakar hasil karna ana
chahiye.
Uddesh.
2. Bhinn bhinn positions se 5.56mm INSAS Rifle
ki durust pakar hasil karne ka tarika sikhana hai.
Saaman.
3. Rifle 5.56mm INSAS, Magazine, Sling, Sand Bags,
1’x 1' tgts , fig 11 Tgts, trenches, sheet ground.
Bhagon Mein Baant.
4. Bhag
I : Lying Position.
Bhag II : Kneeling Aur Sitting Position.
Bhag III : Standing Position
Aur Trench Ka Istemal.
5. Lying Position. (Namuna bayan se aur naqal) Kisi bhi position
ke teen buniyadi usul hai :-
(a) Bone Support
(b) Relaxed Muscles
(c) Kudrati Sidhai
Lying Position asani
se ikhtiyar kiya jane wala aramdeh aur buniyadi position hai. Is position mein badan ka khaka chhota aur
kafi niche banta hai jisse larai ke maidan mein nichi se nichi arh ke piche position
lekar bhi dushman ke nazar aur goli se bachte hue apne hathiyar se uspar kargar
fire kar sakte hain.
6. Position Lene ka Tarika. Sabse pahle target ke sidh mein tgt ko dhyan
mein rakhte hue khare ho jayen. Chalti halat mein bayen paon ko thora age aur
bayen len sath hi Rifle ko bayen hath se badan ke sammunitione is prakar
uchhalen ki barrel takriban 45 degree ke angle par ho aur bayen hath se hand guard
par pakren. Iske baad dahine hath se zamin ka sahara lete hue let jaen. Is position mein dekhne wali baaten is prakar
hain :-
(a) Flash Eliminator zamin se upar ho.
(b) Badan tgt se tirchha ho.
(c) Badan ke niche koi chubhne wali chiz na ho.
(d) Paon kad ke mutabiq khule hon.
(e) Aur ho sake to
eriyan zamin par baithi hui ho.
7. Kudrati Sidhai. Rifle ko dahine rakhen aur bayen hath ki
kohni ko tab tak harkat den jab tak ki tgt bayen khoni aur dahina kandha aur
tang ek line mein na aa jayen. Abhi
dahini kohni ko lag bhag us jagah par rakhen jahan par ki khoni thora dahine
aur dahina kanda ke niche rahe. Donon
hathon ki hatheli ko thudi ke niche lagakar ankhen band karen aur badan ke
tanav ko mehsoos karen yadi badan mein tanav hai to kohni usi jagah par rakhte
hue badan aage ya piche ki harkat dekar tanav ko dur kiya jaye aur kohniyon ki jagah ko mark kar diya jae.
8. Durust Pakar. Rifle par pakar hasil karne ke liye Rifle ko
kandhe mein jamayen aur bayen hath ki
kalme wali ungli aur anguthe ke bich jo V banta hai wahan par use rakhe ki hand
guard hatheli ke niche wali haddi par aa jae charon ungliyan bahar se aur
angutha ander se sath hi magazine kalai se laga hona chahiye.
(a) Bayen hath. Bayan hath Rifle ko niche jaane se rokta hai
aur hand guard ke niche support ka kaam karta hai.
(b) Dayen Hath. Dayen hath se pistol grip par is prakar
pakare ki teenon unguliyan bahar se aur angutha andar se ho aur kalme wali
unguli trigger guard kea aar par ho.
Dayen hath ki unguliyan aur angutha ke beech ka hissa Rifle ke pistol
grip par laga hona chahiye. Dahine hath
se Rifle ko kandhe ki taraf khinch kar rakha jayen aur saath hi Rifle ko
mazbuti se pakra jae.
(c) Shir. Shir ko butt par is prakar rakhen kih gal ka
naram bhag butt par tik jaye. Sir se butt ko na dabaya jaye balki kewal sahara
dene ke liye butt par rakha jaye. Yeh position butt par hamesha ek jaisa aur ek
hi jagah hona chahiye.
(d) Kandha. Kandha butt ko tikane ke liye jagah deta hai
aur Rifle ko pichhe jane se rokta hai. Kandhe mein jo gada banta hai wahan par
butt ko rakha jaye nakih haddi (bone) ke uper.
(e) Dahini kohni Dahini kohni badan se dahine aur thora age
ki taraf ho. Is prakar se donon kandhe taqriban barabari par honge aur firer ki
position balanced rahti hai.
(f) Saans. Agar ham firing ke dauran am tariqe se sans
lete rahen to chhati ke upar niche hone ki wajah se Rifle hilegi. Is lie fire
karne se pahle ek lambi sans lo, thora sans chhoro aur phir sans ko rok do. Is
ke bad shist lo aur fire karo. Lekin dhyan rahe kih sans 10 second se zyada na
roki jae aur isi dauran goli fire ho jani chahiye.
(g) Puri Pakar ko Majboot karna. Puri pakar mazbut karne ke liye bayen kohni
ka loose maans ko kabu karne ke liye kohni ko zamin par jamate hue thora aage
push karen. Dahine kohni ke loose maans
ko kabu karne ke liye kohni ko apni taraf ya pichhe khinche abhi, agar Rifle
upar ki taraf point karti to bayen hath ko nazdik layen. Dahine ko point kar rahi ho to dahine paon ko
thora aage karen aur bayen ko point kar rahi hai to bayen paon ko mamuli bayen
karen. Khara hone ke liye bayen hath se Rifle ko dahine bagal mein layen sath
hi bayen paon ko close karen. Dahine hath se zamin ko push karte hue khare ho
jaen.
9. Lying Supported Position. Rg par fire karte samay jawan ko pahle
unsupported position lena chahiye uske bad hi badan ki unchai ke anusar uske
liye arh lagaya jae. Support lagate
samay dhyan rahe ki kudrati sidhai na bigre, sath hi agar support naram mitti
ka hai to bayen hath ki kalai ko support ke sath lagaya jae aur agar support
sakhat mitti ka hai to support par hand guard ko rakha jaye. Dhyan rahe ki support ke saath magazine na
lage.
10. Kewal Kohni Ka Support Dena
. Yadi Rifle ko unsupport position se
zero kar liya jata hai aur uske baad usi Rifle se arh ka istemal karte hue fire
kiya jae to goli nishane ki jagah se upar lagti hai. Agar arh ke saath zero kiya jaye to
unsupported fire karne se goli nishane ki jagah se niche lagti hai is liye
Rifle ko elbow support se zero karna chahiye taki kisi bhi position par fire
karne se goli nishane ki jagah par hi lage. Kohni ko support dene ke lie karwai
is prakar karen, pahle unsupport position ikthiyar karen uske baad bayan kohni
ke aage ek chaar inch mottai tak ret ya mitti se bhare bag laga den jisse firer
ko fg ke dauran kafi sthirta milegi lekin is position mein magazine support se
nahi laga hona chahiye.
11. Instructor Note
(a)
Agar jawan ka bayen hath “master hand” aur baen ankh “master eye” ho to jawan
ko bayen kandhe se fire karne diya jaye.
(b) Abhyas ke dauran shist lene aur fire karne ki
koshish na ki jaye.
(c) Agar jawan ki erhian zamin par puri tarah na
jamen ya jammunitione mein taklif ho to woh apni position mein tabdili kar
sakta hai
Bhag II : Kneeling
aur Sitting Position.
12. Samtal aur apne sammunitione upar uthi hui
zamin ki satah par nikalne wale tgt par fire karne ke liye, kneeling position
sabse achhi position hai. Is position se
hathiyar ke line of fire ki unchai ko badla ja sakta hai. Is position
mein ilake mein darkhton, makanon ke kinaron aur motor gariyon ki madad se,
hathiyar ko tham kar asani se fire kiya ja sakta hai.
13. Kneeling unsupported position.
. (Namuna bayan se aur naqal) Kneeling position ikhtiar karne ke liye tgt ki
taraf face karo, bayen paon ko tgt ki sidhai mein karo, sath hi Rifle ko age
uchhalte hue bayen hath main tol wali jagah se pakro, muzzle age aur uper ki
taraf ho, ab dahine ghutne ko kafi dahine rakhte hue dahine ghutne par baith
jao. Agar mumkin ho to badan ka bojh erhi par tikao. Baen kohni ko baen ghutne
par is prakar tikao, ki kohni ki haddi ghutne ki haddi se alag ho. Dahine hath
se pistol grip ko pakro aur butt ko dahine kandhe ke gadde mein jamaon. Dahini
kohini ko upar aur zamin ke samanantar rakho. Aisa karne se butt ko kandhe mein
jamane ke liye kafi jagah milegi. Is position mein firer apni suvidha anusar
dahine paon ki erhi ya pure paon par baith sakta hai.
14. Kneeling supported position.
(Namuna bayan se aur naqal) Kneeling
supported position ikhtiar karne ke liye sabse pahle kneeling position ikhtiar
karo. Ab itna age harkat karo ki bayan hath aur baen tang support ke sath mil
jaye. Rifle ka koi bhi hissa support ke sath nahi lagna chahiye, nahi to firer ko jaldi jaldi
POA badli karne mein dikkat hogi.
15. Sitting Position. (Namuna bayan se aur naqal) Jab kih arh kneeling position se chhota ho
aur dhalwandar zamin par position lena ho to aise mein sitting position ka
asaani se istemal kar sakte hain. Dhalwandar zamin par position lete samay
donon eriyon ko zamin par jama diya jae jisse badan ko sthirta mile. Position is prakar len, tgt ko dekhen, Baen
paon ko tgt ke seedh mein karen, dahine paon ko dahine aur age se bayen hath se
Rifle pakaren aur dahine hath se zamin par sahara lete hue baith jaen, baen
hath ki pakar ko durust karen aur uske baad dahine ghutne ko dahine kohni ke
niche lagayen.
Bhag III : Standing position
aur fire trench ka istemal.
16. Standing position se ham tgt par us waqt fire
karte hai, jab ki un tgt par kisi dusri position se fire karna munasib na ho ya
harkat ke dauran jab achanak tgt sammunitione aye tabhi is position ka istemal
kiya jata hai.
17. Standing Position. (Namuna
bayan se aur naqal) Standing position ikhtiar karne ke liye tgt ki taraf face karo,
adha dahine muro, sath hi Rifle ko uchhalte hue bayen hath se is prakar pakro,
ki muzzle asman ki taraf aur butt Kandhe ke sammunitione ho. Paon qad ke
mutabik khule hon. Ab dahine hath se pistol grip ko pakrte hue, butt ko dahine
kandhe ke gadde mein tikao. Dahini kohni ko upar uthao, taki kandhe mein butt
ke liye achhi jagah bane aur Rifle ko majbuti se pakra ja sake. Is prakar Rifle
ka jyada se jyada wajan dahine hath par hoga, bayen hath se Rifle ko baki positions
ki tulna mein age se pakro. Aisa karne se Rifle ko sahara milega aur Rifle
jyada nahi hilegi. Position ko akhri taur par thik karne ke liye, paon ko us
waqat tak harkat do jab tak ki kudrati taur par nisana na le saken. Badan ka
bojh donon tangon par barabar hona chahiye.
18. Standing in Fire Trench. Morche main khara hokar apni hieght ke anusar
morche ko set karen, iske bad badan ke bayen hisse ko morche ki agli deewar se
lagayen. Dahine paon ko thora pichhe
lete hue badan ko thora age dhakelen.
Dono kohniyan trench se bahar zamin par jamaya hua aur chest ke wajan se
kohnion ko daba kar rakhen. Is position mein hathiar ki pakar aur support lying
position ki tarah hi hai.
Instructor Note.
19. Wobble area. Shist lete waqt, Rifle ki tarf ki harkat ki
had he bich jo ilaqa banta hai, use wobble area kahte hain. Yeh harkat kudrati
hai jis ko puri tarah dur nahin kiya ja sakta. Jitna zyada Rifle ko sahara
milega, utna hi wobble area kam banega.
Is ke khilaf agar unsupported position se fire kiya jae, toh wobble area zyada
banega, khas taur par us waqt jab standing position se fire kiya jae. Firer ka
trigger ke dabane par pura cont hona chahiye, taki woh unhi chand sec mein fire
kare, jab ki Rifle sabse kam harkat kare. Agar Rifle zyada harkat kare to,
firer ko trigger ke dabao ko hataen, dobara shist len aur Rifle par kabu pate
hue trigger par dabao dalen.
EK
NAZAR : LESSON - 6
Lying Position
** Aram deh
aur bunyadi
** Kudrati
sidhai
** Durust
pakar
** Sans lene
ka tarika
** Muscle
relax
EK
GOLI : EK DUSHMAN
** Kneeling
supported position
** Standing in
Fire Trench
LESSON
- 7
5.56MM
INSAS RIFLE SE SHIST LENA AUR FIRE KARNA
Pahunch
1. Achook nishane baji ka dusra usul hai
durust shist. Agar ek firer, durust
position aur pakar hasil karne ke bad durust shist lekar fire karta hai to woh,
ek goli ek dushman, ka mudha hasil kar sakta hai. Agar ek jawan squad post par durust shist
lene ki sikhlai achhi tarah paya huwa hai to woh yeh mudda asani se hasil kar
sakta hai.
Uddesh
2. 5.56 mm INSAS Rifle se shist lena aur fire
karne ka tarika sikhana hai.
Saman
3. Rifle,Magazine, Aiming Rest, Aiming Box,
Aiming disc, Sight picture boaround, Shist ki galti ka boaround, Pencil,
Rubber, Easal, Black boaround, Chalk, Duster, Pointer, 1’x1' Target, Sheet
ground.
Bhagon mein bant
4. (a) Bhag-I Durust Shist Lena.
(b) Bhag-II Shist lete samay hone wali galtiyan
aur sudharak exercises.
(c) Bhag III Trigger Operation.
(d) Bhag IV Fire Karna.
Bhag I : Shist lena
5. Firer dwara apne dimagazine aur ankh ka
talmel karke Rifle ki sighton ka istemal karte hue POA par milane ki karwai ko
shist lena kahte hai.
6. Durust Shist ka Qaida. Muqarar shudha position ikhtiyar karen, Rifle
ko mazbut wa sidha pakaren, Aperture ke madhya se tgt ko dekhen aur tgt ka
khaka apne dimagazine mein bithayen.
Fore sight tip ko aperture ke madhya mein rakhkar, tip ko POA par
milayen, wapis nigah fore sight tip par jamayen. Jab firer shist leta hai to do
karwai ko amal mein lata hai :-
(a) Sight
Alignment. Jab ek firer apni
ankh ko back sight aperture ke piche rakhte hue wa aperture ke beech se dekhte
hue fore sight tip ko aperture ke beechon beech mein lata hai.
Firer ki ankh
aperture ke madhya mein fore sight tip ko ek line mein milane ki karwai ko
Sight Alignment kahte hai.
(b) Sight Picture. Durust align ki gai sight ko point of Aim par
milane ki karwai ko sight picture kahte hain, yani ki, Firer ki ankh, back
sight aperture, fore sight tip aur point of aim tak jo farji line banti hai use
sight picture kahte hain.
Bhag II : Shist lete
Samay Hone Wali Galtiyan aur sudharak exercises.
7. Jab ek firer sahi shist lekar fire karta
hai, kabhi kabhi uski goli uske nishane se hatkar lagti hai. iska karan anya
tech karanon ke saath saath firer ki ankh ki khasusiyat par nirbhar hai. Har ek insan ki ankh mein yeh kamzori hai ki,
ankh ek hi samay mein do nishanon ko, joki alag alag fasle par ho, focus nahin
kar sakta hai. Isi ko mahsus karne ke
liye aap apne bayen hath ke anguthe ko khara rakhte hue tgt par POA par dekhen
to aapko anguthe ka nakhun dhundla dikhai dega aur jab aap anguthe ko dhyan se
dekhte hue POA ko dekhenge to POA dhundla dikhai dega.
8. Isi prakar jab jawan POA ko dhyan se dekhta
hai to use fore sight tip dhundla nazar ata hai, jisse woh tip ko aperture ke
madhya mein na rakh pane ki galti kar deta hai, ise sight alignment ki galti
kahte hai. Lekin jawan jab fore sight
tip ko aperture ke madhya mein rakhne par jor deta hai to use POA dhundla
dikhai deta hai. Is halat mein jawan POA ke chunao ki galti kar deta hai.Ise
sight picture ki galti kahte hai.
9. Dono galtion se goli POA se hatkar lagti
hai, ab yeh jan lena zaruri hai ki achhe fire ke liye kis ki ahmiyat jiada di
jaye.
10. Larai ke maidan mein agar ek jawan sight
picture ki galti karta hai to bhi goli target par hit hogi kyonki yeh galti har
range par ek jaisi hi hoti hai. Lekin
sight alignment ki galti karne se goli target bhi chhor sakti hai. Kionki yeh galti badhte range ke sath sath
badhti chali jati hai, is liye sight picture ke banaspat sight alignment ki
ahmiyat jiada hai.
Sudharak Exercises
11. (a) Aiming
Box Exercise. Is ex mein firer
short aiming rest ke pichhe position
leta hai aur coach aiming box par hota hai aur Rifle short aiming rest par. Firer ke ishare ke mutabik coach
aiming disk ko harkat deta hai. Jab aiming disc ka POA firer ki align ki gai
sight ke mutabak aa jata hai to firer stop kahta
hai aur coach aiming disc ki surakh se nishan laga deta hai. Is prakar se firer
teen bar sight alignment ki jagah par disk ke POA ko lata hai. Teeno bar ke nishano ko 6mm mein aa jane ke bad
firer short gp ki kabliyat hasil kar leta hai. Is
ex mein short aiming rest se aiming box ki duri 10 Mtr honi chahiye.
(b) Aiming Corrector Exercise. Is ex mein Rifle ki back sight ke pichhe
aiming corrector laga diya jata hai.
Iske bad coach firer dwara li gai shist ko check karta hai aur zarurat
sudha correction dekar durust karwata hai.
Bhag III : Trigger Operation.
12. Yeh Rifle
SLR se chota hone ke karan trigger dabate samay zyada control ki
avashyakata hai, sath hi control burst fire karti hai.Trigger dabana kalme wali
ungli ka kaam hai, Ungli ke pahle wa dusare jor ke bich ki jagah ko trigger par
rakhen. Trigger ke do dabav hain pahla
halka aur dusra sakhat dabav. Batai gai
jagah se trigger ko sidha pichhe ki taraf khicho aur yahi karwai dusre khinchav
ke sath bhi karen. (Dhyan rahe ki trigger pressure bahut hi kam hai). Dhyan rahe trigger dabate samay barrel apni
jagah se dahine ya bayen nahi khiskna chahiye.
Bhag IV : Rifle se Fire Karna
13. Alag
alag halaton mein nikalne wale target par kargar fire dalne ki kabiliyat
ke lihaj se is Rifle ko banaya gaya hai. Is Rifle se do kisam ka fire kiya jata
hai:-
(a) Single shot.
(b) Control Burst.
14. Single Shot Fire (Namuna bayan se sath naqal).
(a) Sahi position ikhtiyar karo.
(b) Natural
alignment check karo.
(c) Hathiyar
ko bhar aur ready, sahi sight lagao aur sight alignment hasil karo.
(d) Dimagazinei taur par sharir ke un angon ko
check karen jo Rifle ko hold karne mein
madad karte hain. Jaise bayen hath, bayen kalai, kohni, bayen kandha, dayen hath ki pakar right shoulder
mein butt ka position (Kyon kiiska butt do tarah ka hai) right kohni aur kalme
wali ungli.
(e) Ab sans ko normal halat mein chalne do taki
yeh pata chal jaye ki position thik hai.
Back sight aperture ke centre se fore sight tip ko POA par milao. Abhi fore sight tip back sight apreture ke
madhya mein dikhai dena chahiye aur normal sans ke chalte hue fore sight tip
POA ke 12 baje aur 6 baje harkat karni chahiye.
(f) Trigger ka pahla dabav hasil karen. Ab kuchh sec ke liye sans rok do wa sight
picture check karo aur uske bad apna pura dhyan fore sight tip par lao aur
dhire se dusra khichao bhi hasil karo.
Goli fire ho jayegi. Goli fire ke
bad, usi position pakar aur shist ko kayam rakhte hue fore sight tip ki
movement ko check karo. For sight tip
jaha point kar raha hai goli usi jagah par lagi hai. Sans ko chhoro aur hit ko call karo, ise call
aur hit tgt par bhare. Is prakar se fire
karo ki 1 min mein 60 Rounds ke hisab se fire kiya ja sake.
15. Stop. Fire ke dauran tgt wale ilake mein achanak
koi jandar vastu nikal aye, ya trg ke
dauran adesh mile stop to karwai is parkar karo(Namuna bayan se).
(a) Kalme wali ungli ko trigger se bahar nikalo.
(b) Rifle ko niche lao aur change lever ki position
ko “S” par karo, agle hukam ka intjar karo.
(c) Iska magazine paroundarshi hai, is liye
khali magazine ko yakin nahi kiya jata hai, jarurat ho to magazine ki badli
kiya jaye.
16. Go On. Sammunitione wale ilake se jandar vastu hat
jaye ya trg ke dauran adesh mile “Go On” to chnage lever ki position ko pahle
wali position mein karen. Rifle ka kandhe se milap karen aur Rifle ko fire mein
shamil karen.
17. Controlled Burst Fire. Controlled burst use kahte hain jab ek bar
trigger ko press karne se 3 Rounds nikal jata hai woh cont burst hai. INSAS ki
yeh khubiyan hain, ki ek bar trigger ko press kare to teen round ka cont burst
fire ho jata hai. Isme 1 min mein 90 ya isse jiada rounds fire kiya ja sakta
hai.
18. Stop aur go on ki karwai hu-bahu single shot
fire ke tarah hi hai, sath hi har ek round ko follow through nahi kiya ja sakta
hai. 3 in sling support position se le jana bahut hi behtar hai, is position
mein Rifle chhota ho jata hai aur donon hath free hote hain, saath hi zarurat
parne par teji se fire kar sakta hai.
LESSON- 7 : EK NAZAR
Durust
Shist SIGHT
ALIGNMENT SIGHT
PICTURE SHIST
KA QAIDA
SUDHARAK
EXERCISES
SATS
AIMING BOX EXERCISES
AIMING CORRECTOR EXCERCISES
AIMING BAR EXERCISES
FIRE
KA PRAKAR
SINGLE SHOT
THREE RD BURST
LESSON
- 7
INSAS
RIFLE SE SHISHT LENA AUR FIRE KARNA
Q.1 Shist ka quaida likho ?
Q.2 Nimnlikhit
ki paribhasha likho :-
(a) Sight alignment
(b) Sight picture
Q.3 Manav
ankh ki critical focus aur finge of vision se aap kya samajhte hain ?
Q.4 Ek
firer frining ke dauran kya galtian kar
sakta hai ?
Q.5 Sight
alignment aur sight picture ki galti ki sudharak ex kya hain ?
Q.6 INSAS
Rifle ke trigger operation ka tariqa likho ?
Q.7 INSAS
Rifle se kitne prakar ka fire kiya ja sakta hai ?
Q.8 Rifle
se single shot aur TRB fire karne ki tartib likho ?
LESSON
8
5.56MM
INSAS RIFLE KI CHAL AUR ROKEN
Pahunch
1. 5.56mm INSAS Rifle gas ke
dabav aur recoil spring ki taqat se
chalne wala hathiyar hai. Larai ke maidan mein is hathiyar se bhari tadad mein
single shot aur burst fire karke dushman
ko barbad kiya ja sakta hai. Lekin hathiyar ek
machine hai, isliye is mein
firing ke dauran chand ek rokein pad sakti hain. Isliye zaruri hai ke is hathiyar ka pura
faida uthane ke liye jawano ko is hathiyar ke bare mein puri jankari ho, taaki
rokon ko asani se samajkar unhen dur kar saken.
Uddesh
2. 5.56mm INSAS Rifle ki chal,
padne wali roken aur unhen dur karne ka tariqa sikhana hai.
Saman
3. 5.56mm INSAS Rifle service,
5.56mm INSAS Rifle sectionised, Magazine, Drill Carts, Accessories pouch,1'x1’
Target, Board, Chalk, Duster aur Ground sheets.
Bhag
4. Yeh sabak char bhagon mein
banta gaya hai :-
(a) Bhag I. 5.56mm INSAS Rifle ki chal.
(b) Bhag II. Fouri ilaj ki karwai aur sakhht khichav ki
rok ko dur karne ka tariqa.
(c) Bhag III. Gas ki kami ki rok ko dur karne ka tariqa.
(d) Bhag IV. Anya roken.
Bhag I : 5.56mm
INSAS Rifle ki Chal.
5. 5.56mm INSAS Rifle ki Chal
8 action mein puri hoti hai. (Ustad ke dwara board ki madad se bataya jaye).
6. Rifle ki chal mein kaam
karne wale hisse purzon ke naam. Change lever, Trigger, Ejector, Gas vent, Gas
Plug, Gas cylinder, Hammer, Hammer vent, Safety sear, Sefety sear ki notch,
Rotating bolt, Extractor, Feed piece, Firing pin, Cam, Locking lug, Piston
extension, Piston head, Cam way, Stem, Bottom surface Housing way, Piston
Extension ka dahina, pichla aur nichla pehlu, Recoil spring, Barrel extension
locking surface, Chamber, Magazine aur Magazine ke upar wala round hain.
7. Fire. Jab ek firer change lever ki position ko ‘S’
se 'R' ya 'B' par karke trigger ko press karta hai, to hammer azad ho jata hai.
Hammer azad hokar firing pin ke pichhe wale bhag par thokar marta hai, jisse
firing pin apne hole se nikalkar chamber wale
round ke pende par thokar marta hai aur round fire ho jata hai, is
karwai ko fire ki karwai kahte hain. Fire huye round se gas paida hoti hai,
joki bullet ko barrel mein aage dhakelti hai. Jab bullet gas vent ke pas se
gujarta hai to kuchh gas, gas vent, gas plug se hokar gas cylinder mein dakhil
hoti hai. Kuch gas bullet ko target tak pahuchane mein madad karta hai.
8. Unlock. Gas cylinder mein dakhil hui gas piston head
par dabav dalti hai jisse piston extension pichhe ki harkat karta hai. Jab
piston extension pichhe ki harkat karta hai to rotating bolt cam ki madad se
cam way mein dayen se bayen ko itna ghumata hai ki rotating bolt ka locking lug
barrel extension locking surface se alag ho jata hai. Is karwai ko unlock ki karwai kahte hain.
9. Extract. Chal
wale purzon ki pichhe ki harkat ke dauran extractor fired case ko pichhe lata
hai. Is karwai ko extract ki karwai kahte hain.
10. Cock. Chal wale purzon ke pichhe ki harkat jari
rahti hai .Is harkat ke dauran piston extension
ka stem shuru shuru mein hammer ko thora niche daba deta hai, baad mein
bottom surface hammer ko pura niche daba deta hai, jisse safety sear ki notch,
hammer ke vent mein phas jata hai, Is
karwai ko cock ki karwai kehte hain.
11. Eject. Is
karwai ke dauran fired case, ejector se takrakar ejection slot ke raste dahine
aur niche gir jata hai, is karwai ko eject
ki karwai kehte hain.
12. Feed. Recoil spring apne housing mein sikur jata hai
aur recoil spring guide over lap ho jate hain.
Jab recoil spring apne tanav ko pura karta hai to chal wale purzon ko
aage ki taraf dhakelta hai, aage ki harkat ke dauran Rotating bolt ka feed
piece magazine ke upar wale round ko chamber mein dakhil karta hai. Is karwai
ko feed ki karwai kahte hain.
13. Load. Extractor chamber wale round ke pende par
sawar ho jata hai, Is karwai ko load ki karwai
kahte hain. Yahan par Rotating bolt ki aage ki harkat samapt ho jati
hai, lekin Piston extension ki aage ki harkat jari rahti hai.
14. Lock. Piston extension ki aage ki harkat ke dauran
rotating bolt cam ki madad se cam way mein bayen se dayen itna ghumata hai ki
rotating bolt ka locking lug, barrel extension locking surface ke saath lock ho
jata hai. Is karwai ko lock ki karwai kahte hain.
15. Lock hone ke baad bhi piston extension ka kuchh
harkat baki rahta hai. Is akhiri harkat ke dauran piston extension ka dahina,
pichhla aur nichla pehlu safety sear par
dabav dalta hai, jisse safety sear ka notch, hammer ke vent se alag ho jata hai
aur rifle dubara fire ke liye taiyar ho jata hai.
16. Abhyas puri class ko den.
Bhag II : Fouri ilaj ki
karwai aur sakhht khichav ki rok.
17. Ek jawan ko is hathiyar se pura pura faida
uthane ke liye ismein padne wali roken aur unhen dur karne ka tarika theek
prakar se aana chahiye, taaki larai ke maidan mein roken padne par unhen dur
kiya ja sake.(Ustad ke dwara namuna beyan ke sath diya jaye).
18. Trigger press karne par rifle fire na kare ya fire karte-karte ruk jaye to
fouri ilaj ki karwai ki jayegi.
19. Karne ka tarika. Sabse pahle kalme wali anguli ko trigger se
bahar karen. Butt aur kandhe ka milap toden. Rifle ko dahine turn karte hue
cock karen aur holding opening device ko lagayen. Magazine catch ko dabate hue
magazine ko utaren aur pouch mein band karen. Pouch se bhara hua magazine len,
mulaiza karte huye magazine way mein fit karen, yakin karen magazine lag gaya
hai. Chal wale purjon ko aage jane den. Butt aur kandhe ka milap karen. Rifle
ko fire mein shamil karen. Rifle theek fire karega. Is prakar rifle ko ek bar
cock karke holding opening device lagakar magazine ki badli karne se teen
prakar ki roken dur ho jati hain :-
(a)
Magazine ki rok.
(b)
Misfire.
(c)
Body mein atka hua round ya fired case.
20. Sakhht
khichav ki rok. Fouri ilaj ki karwai karne ke baad bhi Rifle
theek fire na kare ya fire karte karte chal wale purje aage hi ruk jayen to rok
ko pehchane. Sabse pahle kalme wali anguli ko trigger se alag karen. Butt aur
kandhe ka milap toden. Rifle ko dahine turn karte hue cock karen agar rifle
cock na ho to sakhht khichav ki rok samajkar dur karen.
21. Karne
ka tarika. Rifle ko niche rakhen. Kneeling position
ikhtayar karen. Rifle ko upar uthayen. Is position mein dekhne wali batein.
Rifle takriban 45 degree ke angle par barrel aasman ko point karta huwa. Bayen
hath ki pakar fore hand guard par charon anguli niche se angutha upar se barrel
ko point karta huwa. Rifle ka butt dahine ghutne ke sath laga hua.(Dahina ghutna butt ko pichhe jane
se rokta hai). Dahine haath ki madad se cocking handle ko upar uthayen. Charon
angulion ka hook banate huye rifle ko ek hi jhatke mein cock karen. Yakin karen
ki, sakhht khichav ki rok dur ho gaya hai. Chal wale purjon ko aage jane den.
Rifle ko niche rakhen. Firing position ikhtiyar karen. Butt aur kandhe ka milap
karen. Rifle ko fire mein shamil karen rifle thik fire karega. Sakhht khichav
ki rok padne ke karan :-
(a)
Maila chamber.
(b)
Ganda ammunition.
22. Abhyas puri class ko den. Abhyas ke liye
aadesh es prakar honge. Rifle theek fire karta rukta ke aadesh par fouri ilaj
mein rifle ko cock karke holding opening device lagane tak ka karwai kiya
jayega. (Ustad ke dawara rok ka nam diya jayega aur students ke dawara rok ko
dur kiya jayega). Jaise :-
(a)
Magazine ki rok ke adesh par magazine ko badli kiya jayega.
(b)
Eject hua round ke adesh par round ke primer ko check kiya jayega.
(c) Body mein atka hua round ya fired case ke
adesh par body ko clear kiya
jayega.
(d) Cock nahin ke adesh par sakhht khichav ki
rok samajkar dur kiya jayega.
Bhag III :Gas Ki kami
ki rok.
23. Gas
ki kami ki rok. Fouri ilaj ki
karwai aur sakhht khinchav ki rok ko dur karne ke baad bhi rifle thik fire na
kare ya fire karte-karte ek do round ke baad ruk jaye to gas ki kami ki rok
samajhkar dur karen.
24. Karne ka tarika. Sabse pahle kalme wali anguli ko trigger se
alag karen butt aur kandhe ka milap toden, Rifle ko dahine turn karte hue cock
karen. Change leaver ki position ko 'S' par karen. Rifle ko dahini bagal mein
pichhe layen. Gas regulator ki position ko check karen, agar gas regulator ki
position low par ho to kapre ya chindi ki madad se low se high par karen. Agar
gas regulator ki position pehle se hi high par ho to grenade sight ko 60 degree
ke angle par khara karen. Drift ki madad se gas vent ki safai karen, wapas
grenade sight ko niche baitha den. Gas regulator ki position ko kapre ya chindi
ki madad se high se low par karen. (Dhyan rahe gas regulator ki position ko
badli karte samay haath barrel ke sath nahi lagna chahiye). Change lever ki
position ko fire par karen butt aur kandhe ka milap karen aur rifle ko
fire mein shamil karen. Rifle thik fire
karega. Gas ki kami ki rok padne ka karan Jyada gas fouling hone se gas vent ka
band ho jana hai.
25.
Abhyas puri class ko den. Abhyas ke liye adesh is prakar honge. Rifle
theek fire karta ek do round ke baad rukta ke adesh par gas ki kami ki rok
samajh kar door kiya jayega. (Ustad ke dwara rok ka naam diya jayega aur
students ke dwara rok ko dur kiya jayega).
Bhag IV :Anya Roken.
26. Anya Roken. Fouri ilaj, sakhht khinchav aur gas ki kami
ki rok dur karne ke baad bhi rifle fire na kare ya fire karte karte body se alag si awaj aaye to anya rok
samajkar dur karen.
27. Karne ka tariqa. Sabse pahle kalme wali anguli ko trigger se
bahar nikalen butt aur kandhe ka milap toden magazine catch ko dabate huye
magazine ko utaren. Rifle ko dahine turn karte hue cock karen aur sikhe hue
tarike se rifle ko khol den. Firing pin aur extractor ka mulaiza karen yadi koi
purja tuta ho to badli karen. Agar firing pin extractor thik ho to, body aur
chamber ki rok ho sakta hai. Dono haathon se rifle ko pistol grip se pakden aur
butt ko upar uthyen. Body aur chamber ka mulaiza karen.Yadi body clear aur chamber
mein kata hua case nazar aaye to sikhe huye tarike se rifle ko jod den.(Dhyan
rahe body aur chamber ko check karte samay rifle ka barrel zamin par nahi lagna
chahiye). Rifle ko cock karen. Holding opening device ko lagayen. Assy pouch se
clearing plug ko len. Iske teen bhag Base, centre pin aur sleeve. Base aur
centre pin ko tight karen. Chamber mein dakhil karen. Chal wale purjon ko aage
jane den. Rifle ko cock karen aur holding opening device ko lagayen.Yakin karen
clearing plug ke sath kata hua case bahar aa gaya hai. Yadi samay ho to
unscrew ki karwai karen nahin to mauka
milte hi unscrew ki karwai kiya jaye. Pouch se bhara hua magazine bahar nikalen
aur mulaija karte huye magazine way mein fit karen yakin karen ki magazine lag
gaya hai. Chal wale purjon ko aage jane den. Butt aur kandhe ka milap karen.
Rifle ko fire mein shamil karen. Rifle theek fire karega. Chamber mein case
katne ke karan:-
(a)
Chamber ka jyada garm ho jana.
(b)
Cartridge case ke metal ka kamjor hona.
28. Kabhi kabhi clearing plug ke sath kata hua
case bahar nahi aata hai, iske chand ek
karan :-
(a)
Base aur centre pin ka tight na
hona.
(b)
Sleeve ke head ka ghis jana.
(c)
Sleeve ka ulta jud jana .
(d)
Clearing plug ke kisi hisse purje ka tut jana.
29. Abhyas puri class ko den. Abhyas ke liye
adesh is prakar honge. Rifle thik fire karta, fire nahi ke adesh par anya rok
samajh kar dur kiya jayega.(Ustad ke dwara rok ka naam diya jayega aur students
ke dwara rok ko dur kiya jayega).
LESSON-8 : EK NAZAR
30. INSAS Rifle ki chal 8 action mein puri hoti
hai. Fire, Unlock, Extract, Cock, Eject, Feed , Load aur Lock. INSAS Rifle mein kam hi roken padti
hain. Phir bhi niminlikhit par dhyan den.
(a)
Fouri ilaj ki karwai se dur hone wali roken.
(b)
Sakhht khichav ki rok.
(c)
Gas ki kami ki rok.
(d)
Anya roken.
LESSON
NO 8
5.56 insas rifle ki CHAL AUR ROKEN
Q1. INSAS
Rifle ki chal mein kaam karne wale hisson purjon ke naam likho?
Q2. INSAS
Rifle ki chal likho?
Q3. INSAS
Rifle mein kaun kaun si rok padti hain?
Q4. Rokon
ko dur karne ke liye fouri ilaj ki karwai likho?
Q5. Chamber
mein case katne ke kya karan hain?
Q6. Sakhht khichav aur gas ki kami ki rok ko kis
prakar dur kiya jata hai?
Q7. INSAS
Rifle ki mechanical safety kya hai?
Q8. TRB
mode mein rifle 3 rounds kaise fire karti hai?
Q9. Trigger mechanism ke hisse purje likho?
Q10. Three Round Burst mechanism ke faide likho?
LESSON-9
5.56
MM INSAS RIFLE KA TRIGGER MECHANISM
Parichay
1. 5.56 mm INSAS Rifle INSAS parivar ka mul
hathiyar hai. Yeh hathiyar, 7.62 mm
SLR Ke banishbat 25% halka, jiada
compact aur ismein 70% kam recoil hone
ke karan isse hum asani aur jiada durusti se istemal mein la sakte hain. Is hatjiyar ki banawat mein chand ek adhunik
tabdiliyan ki gayi hain, jaise ki chrome plated barrel, plastic furniture, teen
prakar ke sighting system, transparent magazine aur rotating bolt type of
locking mechanism. INSAS Rifle se hum teen round ka burst bhi fire kar sakte
hain. Isse iski goliyon ka tgt mein
lagne ka andesha badh gaya hai. Yeh
nihayat zaruri hai ki aap sabhi is trigger mechanism se bakhubi jankari rakhte hon taki zarurat parne
par ise asani se istemal mein laya ja
sake.
Uddesh
2. 5.56 mm INSAS Rifle ke trigger mechanism ke
bare mein jankari dena hai.
Bhag
3. Yeh sabak teen bhagon mein banta gaya hai
:-
(a) Bhag
I. Trigger ki chal mein
istemal hone wale hisse purze.
(b) Bhag
II. TRB Assembly se
waqfiat.
(c) Bhag III. TRB Mechanism.
Bhag I :Trigger Ki
Chal Mein Istemal Hone Wale Hisse Purze
4. Trigger ki chal mein kaam ane wale hisse
purze is prakar se hain :-
(a) Change lever
(i) Stem.
(ii) Rib.
(iii) Lug.
(b) Trigger.
(c) Trigger Sear
(i) Claw.
(ii) Tail.
(d) Auxillary Sear
(i) Sear claw.
(ii) Neck.
(iii) Arm.
(e) Hammer Assembly
(i) Hammer
(ii) Recess for safety Sear.
(iii) Platform.
(iv) Hammer return Spring.
(v) Pawl and pawl return spring.
TRIGGER
MECHANISM(REF PARA 4)
1. Safety sear 11. Sear
2. Spring safety sear 12. Spring
sear
3. Pin safety sear 13. Pin
trigger
4. Hammer 14. Wheel
5. Spring hammer 15. Plunger
6. Pawl hammer 16. Spring plunger
7. Spring pawl hammer 17. Studlever
change
8. Pin pawl hammer
9. Pin axis hammer
1. Box.
2. Plate Selector.
3. Ratchet Wheel
4. Spring.
5. Ratchet Plate.
(Tripping
Plate)
Unit
burst control assembly
BHAG II - TRB
Assembly Se Waqfiat
6. TRB Assembly ka matlab hai Three Round
Burst As : TRB Assembly ke Hisse Purze is prakar hain :-
(a) Box.
(b) Axis pin.
(c) Plate Selector.
(d) Ratchet wheel.
(e) Ratchet Plate. (Tripping Plate)
(f) Spring.
BHAG III - TRB
Mechanism
7. Teen round Burst control karne ke liye jo
bhi purza hai yeh change lever aur hammer ke beech mein fit kiya gaya hai. Yeh
aapas mein nazdik nazdik sthit kiye gaye hain. Yeh purze hammer aur change
lever ke beech trigger mechanism se jude hue hain.
(a) Jab change lever ko B position mein lagate
hain to uska lug plate selector ko niche daba deta hai jisse ratchet wheel pawl
ke radial path mein aa jata hai.
Fire
Ke Liye Taiyar
(b) Jab trigger ko dabaya jata hai to hammer
trigger sear se azad ho jata hai aur firing pin ke pichhe wale hisse par thokar
marta hai. Jisse round fire ho jata
hai. Is dauran pawl ratchet wheel ki
upar wale daant mein phas jata hai aur wheel ko spring ke barkhilaf ghuma deta
hai. Is samay ratchet wheel ka pichla aur nichla katao safety sear ko piche ki
aur apne spring ke tension ke barkhilaf daba deta hai.
Pahla
Round Fire Hone ke Bad
(c) Jab rotating bolt aur piston extension pichhe
ki harkat karte hain to ratchet wheel apani hi jagah par barkarar rahta hai,
pawl apne spring ki tension ke barkhilaf press ho jata hai aur hammer pichhe
dab jata hai. Is samay trigger pressed
hone ke karan hammer ko trigger sear nahin rok pata hai. Aur dusra round bhi fire ho jata hai.
Teesra
Round Fired
(d) Is samay ratchet wheel ka dusra dant pawl ke
sath phans jata hai aur ratchet wheel ka pichhla aur upar wala dant auxillary
sear ko pihche dabata hai. Jab Chalwale
purje pichhe ki harkat karte hain to hammer ko na trigger sear rokta hai aur na
hi auxillary sear rok pata hai. Karwai
usi prakar se hoti hai jaise pahle round ke fire hone ke bad hui thi. Is prakar teesra round bhi fire ho jata hai.
(e) Jab teesra round fire hota hai to pawl
ratchet ke sabse niche aur teesre dant mein phans jata hai. Aisa hone se ratchet wheel pura upar uth jata
hai aur tripping plate ke niche bani projection ko niche daba deta hai. Isse tripping plate ka pichla hisa niche ki
harkat karta hai. Is samay tripping
plate ke pichhe bani projectve auxillary sear ko pichhe dhakel deti hai. Yeh halat us samay ka hai jab chal wale purje
age hote hain aur teesra round fire ho chuka hota hai.
Teesra
Round Fire Hone Ke Bad
(f) Jab chal wale purje pichhe ate hain to pawl bhi hammer ke
sath pura pichhe ghum jata hai. Is samay
pawl aur ratchet wheel aur pawl ka milap tut jata hai. Aisa hone se ratchet wheel apani jagha par
wapis aa jata hai yani ratchet wheel niche ki harkat karta hai. Isse tripping plate ke upar se bhi ratchet
wheel ka dabav hat jata hai aur trapping plate upar uth jati hai. Ab Auxillary Sear Azad ho jata hai. Jab hammer par auxillary sear sawaar ho jata
hai aur purze pura pichhe ruk jate hain.
Aisa us samay hoga jab Trigger pressed hi raha gaya ho, verna trigger sear hammer platform
par swaar hojata hai aur use pichhe rok leta hai. Is prakar teen round fire hone ke baad agla
round tab tak fire nahin hoga jab tak trigger ko release na kar diya jai.
8. TRB mechanism is hathiyar ki visheshta
hai. Change lever ki position R par hone
se INSAS Rifle Single Shot fire karti hai. Aur agar change lever ki position S
par ho to Rifle fire nahin karegi.
TRB
MECHANISM
(Flow
Diagram)
ke
radial path mein aur wheel ka pichla
pahla dant sear par sawaar.
Pawl
rachet wheel ke pahle dant par sawaar, rachet wheel ka pichhe aur dusra dant auxillary sear par sawaar. |
Dusra Round Fired
Pawl rachet wheel
ke dusre dant par sawaar, rechatplate ka pichla aur upar
wala dant sear par sawaar |
Teesra
Round Fired
Pawl
rachet wheel se azad, sear ya trigger sear hammer par sawaar |
LESSON
- 9 : EK NAZAR
Trigger ki chal mein kam ane wale hisse
purje is prakar hain:-
(a) Change Lever
(i) Stem
(ii) Rib
(iii) Lug
(b) Trigger
(c) Trigger Sear
(i) Claw
(ii) Tail >
Ek hi Axis pin par sawaar
(iii) Searclaw
(iv) Neck
(v) Arm
(d) Hammer Assly
(i) Hammer
(ii) Recess for safety sear
(iii) Plateform
(iv) Hammer return spring
(v) Pawl and pawl return spring
(e) Safety sear. Alag axis pin par
(f) TRB Assly ke hisse purze
(i) Box
(ii) Axis pin
(iii) Plate selector
(iv) Ratchet wheel
(v) Ratchet plate
(vi) Spring
LESSON
NO-9
5.56
MM INSAS RIFLE KA TRIGGER MECHANISM
Q1. Rifle ko cock karne par breech block ki aage
ki harkat ke dauran trigger sear ka kya kaam hai ?
Q2. TRB se fire karte waqt kaun se hisse kaam
mein aate hain ?
Q3. TRB ke faide likho ?
Q4. TRB mode mein ek baar trigger press karne
par dusra round fire hone ke liye kis prakar taiyar ho jata hai ?
Q5. Dusre round fire karne ke bad wheel, pawl
aur trigger sear ki kya position hoti hai ?
Q6. Teesra round fire karne ke baad pawl aur
trigger sear ki kya position hoti hai ?
Q7. INSAS Rifle ki R aur B position mein kya
antar hai ?
Q8. TRB ki tulna mein auto fire ke kya faide aur
nuksan hain ?
Q9. TRB assly ka chitra banayen ?
Q10. Change lever ki position S par hone par insas
Rifle ko cock kiya ya nahin kiya ja sakta hai ?
LESSON
– 10
5.56
MM INSAS RIFLE KA ZEROING KA TARIKA
Parichay
1. Zeroing, Rifle ki sighton mein elevation
yah deflection ki galti ko dur kar, group ke MPI ko chune hue sthan par lane ke
liye kiya jata hai. Is se Rifle se aam halaton mein bhi fire kiya jaye to uski
goliyan usi jagah lagengi, jis jagah par hammunitione shist liya tha. Is Rifle ka zeroing kisi vayu rahit prakash
din mein kiya jana chahiye. Zeroing ki
karwai sight ko 200m par sthir kar, zamin par 30.5m ki range par karna hi uchit
hoga. Aisa karte samay lying supported position
hona zaruri hai.
Paribhasha
2. MPI ko POA par ya pahle se diye gaye sthan
par lane ke liye hathiyar ki sighton par, upar nichhe aur dahine bayen ki galti
ko dur karne ke liye jo tabdiliyan ki jati hain, is karwai ko zeroing kahte
hain. Zeroing se line of sight aur
trajectory ke beech ka farak samapat ya manjur sudha kiya jata hai.
Faide
3. Zeroing ke chand ek faide is prakar hain :-
(a) Rifle
aur apne aap par bharosa.
(b) Shoot
to kill ka mudha hasil hona.
(c) Clasification
fire ke natije achhe.
Mauqe
4. Zeroing ke mauqe is prakar hain :-
(a) Accuracy
par shak hone par.
(b) Jab
Rifle naya issue ho.
(c) Ek
jawan se dusre jawan ko di jaye ya liyajaye.
(d) Classification
fire karne se pahle/competition mein jane se pahle.
(e) Larai
mein jane se pahle.
(f) High
altitude mein jane se pahle aur aane ke baad.
(g) Bari
repair ke baad.
Zeroing ke Waqt
Zaruri Baten
5. Tuning Up. Rifle ko rojana istemal karne se aur kote
mein rakha rakhne se bhi out of tune ho jati hai. Is liye zaruri hai ki zero karne se pahle
Rifle ko armr se tuning up karwa lena chahiye.
Bina tuning up hue, Rifle ka, fire par bahut bura asar parta hai.
6. Mausam. Zeriong par kharab mausum ka asar
parta hai. Is liye zaruri hai ki liye saaf din aur kam hawa wala waqt hi chuna
jaye.
7. Bayonet na laga ho.
8. Magazine zamin par na tika ho.
9. Barrel support ke sath na laga ho.
Zeroing
10. Durust rg lagakar hi zero kiya jaye. Sight par 200m rg laga hona chahiye aur
ground rg 30.5m ho toh MPI, POA se 1.25 cms upar aur 1.25 cms ke diameter mein
banega.
11. Agar sight rg 200m ho aur ground rg 100m ho,
MPI POA se 4" ke diameter mein 2" upar banega.
Correction
12. Rifle factory se hi zero hokar ata hai. Phir bhi thode adjustment ki zarurat hoti
hai. Isko qualified personnel hi karen.
13. Elevation.
Upar/niche ki galti ko dur karne ke liye fore sight ko rotate
karen. Fore sight ko upar karne se MPI
niche shift hoga. Aur agar MPI ko upar shift karna hai to fore sight ko niche
kare. 100m range par foresight ko pura
chakkar dene se 100M PAR MPI 4" shift hoga. Tool adjusting foresight se pahle lock nut ko
dhila kar lena zaruri hai. Phir isi tool se foresight ko ghumaya jae. Zaruri
correction dene ke bad lock nut ko kas dena chahiye.
14. Lateral Correction. Dahine/bayen ki galti ko dur karne ke liye
rear sight par correction di jati hai.
Agar back sight ko bayen le jaye toh MPI bayen shift hota hai. Back sight mein correction dene ke liye screw
ko ghumana parta hai. Screw ko clock
wise ghumane se sight right ko harkat karti hai. Agar MPI ko bayen le jana hai to sight ko
ghari ke ulte rukh ghumana parega. Iske
liye tool combination ka istemal karte hain.
100m back par sight screw ko ek pura chakkar diya jae to MPI POA se
4" shift hota hai. Correction kar
lene ke bad yeh zaruri hai ki screws ko dobara kas diya jae.
Accuracy
Specifications
15. Yeh Rifle factory mein nimnlikhit accuracy
specifications par test hokar aati hai :-
Ser Range(M) Sight (M) No
of Accuracy MPI No
Setting Rounds (HxV(mm)) (mm) 1.
30.5 200 4 out of 5(SS) 25.5x38 12.5 up12.5 L or R 2.
200 200 6 out of 7(SS) 168x168 0 to 250 up 84 L or R 3.
400 400 6 out of 7 336x336
0 to 500 1681 L or R |
16. Dhyan
mein rakhen ki :-
(a) Rifle ko zero karte samay sight hamesha 200
Mtr par hona chahiye.
(b) Bayonet lagakar zero nahi karna chahiye.
(c) 4' x 4' tgt ke beech 1' chauri kali patti,
Khare rukh lagakar do hisson mein bant do.
Donon hisson ke beech 9” x 9” ka kale kagaz ka tukara lagao. Inke niche aur beech wali point par 3”x 4.5”
ka ek safed aiming mark lagao.
(d) Yeh zaruri hai ki zero ke liye thik position
ikhtiyar kar li jae, yani ki baju ko sand bag par tikaya jae. Yeh Rifle ko sthir rakhta hai. Iske ilawa Rifle ko niche diye hue tarikon se
zero karne se MPI mein farak parega :-
(i) Arh par barrel tikakar.
(ii) Rifle ko arh par tika kar.
(iii) Magazine ko zamin par tika kar.
(iv) Bayonet laga kar.
(v) Khule mein bina kisi kisam Ki arh se.
LESSON - 10
EK NAZAR
Sight Range Ground
Range
200M 30.5M
Mpi
1.25
CM UPAR
AUR
1.25 CM DIAMETER
SIGHT
RANGE GROUND
RANGE
MPI
4" Diameter
2" Upar
ONE
CHAKKAR = 4" (100M)
5.56
MM INSAS Rifle KA ZEROING KA TARIKA PARICHAY
Q1. Zeroing ki paribhasha likhen.
Q2. Zeroing ke mauqe likhen.
Q3. Stocking up aur tuning up se aap kya samajhte
hain.
Q4. Zeroing se pahle aur dauran zaruri baaten kya
hain Likhen.
Q5. Zeroing ke liye kaun sa target hathiyar par
taiyari aur range.
Q6. Ammuman zeroing kaun si range par ki jati
hai. Zeroing ke liye foresight aur
backsight par ek chakkar ghumane se target par kitna asar parta hai. Ek table
dwara samjhaen.
LESSON
- 11
5.56
MM INSAS RIFLE SE HATKAR SHIST LENE KA TARIKA
Pahunch
1. Larai ke maidan mein shayad hi jawan ko
itna mauqa mile ya na mile ki woh hathiyar par dushman ka sahi rg lagakar fire
kar sake. Ho sakta hai us samay tgt chal
raha ho ya kudrati halat mein ho aur us samay hawa bhi asar dal sakti hai. Tamam halat mein dushman par hatkar shist
lene ka tarika ana chahiye. INSAS Rifle
mein 200m aur 400m ke range ki hi suvidha hai.
Is liye bahut zaruri hai ki shist main tabdili karne ka tarika ek jawan
ko achhi tarah ana chahiye.
Uddesh
2. Shist mein tabdili karna, shist ki jagah chunna,hawa ka hak rakhte hue POA
chunne ka tarika sikhana hai.
Saman
3. 5.56mm INSAS Rifle, long easal, short
easel, black bd, chalk, duster, diagram,
fig 11 tgt aur ground sheet.
Bhag
4. Is lesson ko char bhagon mein banta gaya
hai :-
(a) Bhag
I - Shist mein tabdili karna.
(b) Bhag
II - Shist ki jagah chunna.
(c) Bhag
III - Harkati tgt par POA lena.
(d) Bhag
IV - Hawa ka fire par asar.
Bhag I : Shist Mein
Tabdili Karna.
5. Jab hathiyar par tgt ka sahi rg lagakar
fire karte hain toh goli nishan ki jagah par lagti hai, lekin agar sight par
tgt ke rg se kam rg laga ho to goli nishan ki jagah se nichhe lagegi. Agar rg sight par jiada laga ho to goli
nishan ki jagah se upar lagegi. Goli
nishan ki jagah se kitna upar ya niche lagegi yeh tgt ke fasle par nirbhar
karta hai. Sight rg kam ya jiada hone se
goli nishan ki jagah se kitna upar ya niche lagegi yeh Appx 'D' mein diya gaya
hai. Isse yeh saf jahir hota hai ki agar
tgt 300m par hai aur sight par 200m rg laga hai to firer ko thora upar shist
lena parega aur agar sight rg 400m hai aur tgt 300m par hai to shist thora
niche lena parega taki goli tgt ke centre mein lage.
Bhag II :
Shist ki Jagah Chunna.
6. INSAS Rifle ko is prakar zero kiya jata hai
ki 200m par goli nishane ki jagah par lagti hai. Is tarah 100m se zero ki gai Rifle se jab ham
30.5m rg par fire karte hain toh goli 12.5mm shist ki jagah se upar lagti hai. Is lie 200m se kam rg ke tgt ko engage karne
ke liye shist tgt ke madhaya se thora niche aur 200m se jiada ke liye shist madhaya se thora upar
lena chahiye. Is prakar shist lekar 200m
se kam rg par nikalte tgt ko engage karne ke liye do bare faide hain :-
(a) Agar goli zamin par takra kar ricochet hota
hai to tgt hit ho sakta hai.
(b) Firer mar ko dekh kar dusri goli se
correction dekar tgt barbad kar sakta hai.
Bhag III : Harakati Tgt par POA Lena.
8. Harkati tgt ko hit karne ke liye zaruri hai
ki shist age liya jae. Kitna age shist lena hai yani kitna lead lena hai tgt ke
rg aur tgt ki raftar par nirbhar karta hai. Firing ke lihaz se tgt ki teen
raftar mani gai hain :-
(a) Chalta tgt.
(b) Daurta tgt.
(c) Tej daurta tgt.
9. Teenon kisam ke tgt par badalti rg mein
lead bhi badalti hai. Kitne rg par kis kisam ke tgt par kitna lead liya jayega
yeh tgt ki speed aur bullet ke time of flight par nirbhar karta hai. Is ko madhaya nazar rakhte hue sikhlai ko
asan karne ke liye mote taur par lead table Appx "E" mein diya gaya
hai.
Bhag IV : Hawa ka
Fire par Asar.
10. Firing ki lihaj se hawa ki teen raftaar hoti
hai.
(a) Halki Hawa. Jis hawa ke chalne se chhoti jharion ki
Pattiyan aur firing point par lega flag 22-23 degree ke angle par lahrati hai
us ko halki hawa kahte hain.
(b) Tej Hawa.
Jis hawa ke chalne se pattiyan hilti hain chehre per mehsus kar sakte
hain point par laga hua flag 45 degree ke angle par lahrata hai, us ko firing
tej hawa kahte hain.
(c) Bahut Tej Hawa. Jis hawa ke chalne se bari bari tahniya
hilti hain, dhul aur garounda urta hai aur firing point par laga flag 90 degree
par lahrata hai usko bahut tej hawa kahte hain.
11. Jo hawa 3 se 9 baje ki line mein chalti hai
use cross wind kahte hain. Jo hawa 11 se
5 aur 1 se 7 baje ki line mein chalti hai usko tirchhi hawa kahte hain. Sikhlai ko asan karne ke liye mote taur par
alag alag rg par alag alag hawa ke liye lead table appx "F" mein diya
gaya hai. Tirchi hawa ke liye ek POA kam
kar diya jata hai.POA lene ka tarika :-
POA = RANGE
X SPEED +/- HAWA
12. Agar tgt aur hawa dono ek taraf ki ho to
tgt ki speed ke POA se hawa ke POA kam kar diya jae, agar donno vipreet disha
mein ho to tgt ke POA mein hawa ka POA jor diya jae.
LESSON – 11 : EK NAZAR
Chalta Daurta Tej Daurta
Lead = Range x Tgt ki Speed
Halki Tej Bahut Tej
LESSON
NO 11
SHIST
MEIN TABDILI POA CHUNNA AUR HAT KAR SHIST LENA PARICHAY
Q1. INSAS ki open rear sight par kya nishan
bane hain?
Q2. Alag alag range ke lie shist mein tabdili
karna kyon zaruri hai ?
Q3. Elevation table ki madad se alag alag rg
par elevation mein antar dikhao ?
Q4. Zeroing Ke Lie 100 mtr rg kyon chuna gaya
hai ?
Q5. Kisi tgt ko 200 mtr ke andar engage karne
ke kya faida hain ?
Q6. Harkati tgt ke lie POA ka table banao ?
Q7. Alag alag rg par haw aka prabhav batao ?
LESSON – 12
BETA
LIGHT SIGHT KE ISTEMAL MEIN SAVDHANIYA
1. Beta rays, tritium gas se nikalti hai aur
phosphorous coating aur glass capsule mein sokh li jati hai.
2. Agar glass capsule tuta hai toh uske nazdik
hone wale jawanon ko khatra paida ho jata hai.
Isliye jawanon ko kam se kam adhe ghante ke liye 10 m tak hat jana
chahiye. Durghatna ki detail Head, DRP,
BARC, Bombay ko bhej dena chahiye.
3. Sans ke jariye tritium gas ke sharir mein
pravesh karne ke karan swasthya par antrik rup se khatra paida hota hai, aur
yeh khatra radio dharni (radio active) Tritium Gel se antarik dushman ka hota
hai. Aise dushman se prabhavit sabhi
logon ke sharir ko subse pahle bahari taur par dushman se muqt kar lena chahiye
aur aisa karne ke liye sampuran sharir ko sabun paani se dho lena chahiye.
4. Durghtna ke 15 ghante pashchat polythene ki
shishi mein peshab ke namune(Lagbhag 30 ml) lekar evam us mein upyukt
parirakshak milakar Division of Radiological Protection, BARC, Trombay, Bombay,
400085 ke pradhan ko bhej dena chahiye.
5. Jo yantr Tritium gas se dushit ho gaya hai
use puri tarah sabun paani se dho lena chahiye.
Tute hue kanch ke tukron ko do feet gehrai gaddhe mein gar dena
chahiye. In tukron ko hath se nahin
chhuwa jae.
6. Jis component se Tritium strot ko badalna
hai use us upkaran se khol liya jae jismein woh laga hai. Aab jis padarth dwara capsule laga hai uspar
acedic acid ki kuchh bunden dalkar use kamjor bana lein. Aab us jagah ki safai kar wahan par dusra
capsule laga den.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें
If you have any questions please let me know