AMBUSH KI VISHESTAYEN
Ambush ko kamyab banane ke lie kuch zaruri baten is prakar se hain:- Surprise. Surprise hasil karne ke lie kuch bunyadi baten zaruri hain jo is prakar hain. (a) Khamoshi. (b) Samajh aur hoshiyari ke sath layout aur siting. (c) Security. Cont. Ambush ki karwai ke dauran cdr ka control hona nihayat hi zaruri hai jisko niche likhi baton se hasil kiya ja sakta hai:- (a) Achha briefing. (c) Achhi tarah jane hue signal (b) Rehearsals. (d) Cdr ki durust posn. (e) Discp. Fire Power. Kyonki samay kam hota hai is liye dushman ke upar bhari tadad mein aur ikattha fire dalna chahiye. Iske lie zaruri baten is prakar se hain:- (i) Sahi scouting aur durust fire control. (ii) Automatic hathiyaron ka adhik istemal. (iii) Achha fire plan jisse dushman ke bhag nikalne wale raston ko Arty ya Mor fire se cover kiya ja sakta hai. (vi) Anti pers ya claymore mines ka istemal. (v) Gren ka istemal. (vi) Area wpn jaise 51mm Mor, 84mm RL, MGL aur rif gren ka istemal. Saadgi. Ambush ki planning mein jitni saadgi hogi utni hi adhik kamyabi ki sambhawanahogi.Agar briefing ya hukam kafi pechide aur kathin honge to galti hone ki sambhawana jiada hogi. Pakka Irada. Ek bar ambush kar lene ke baad use sahas aur pakka irade ke saath kamyab karna zaruri hai. Self Discp. Ambush ko safal banane ke lie jawanon ka apna anushasan ale darje ka hona chahiye kyonki ambush ke dauran unhen sharirik aur dimagi thakawat kafi ho sakti hai.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें
If you have any questions please let me know