SIGHTON SE JANKAARI 84 mm RL
84 mm RL Mk-III par 03 parkar ki sight aur ek adopter aata hai. (a) Open sight (c) Passive Night sight (a) OPEN SIGHT (i) (b) (d) Telescopic sight Bore sight adopter. Front open sight: yeh sight RL Mk-II ki tarah hi hai raat ke samay fire karne ke liye sight ke peechhe tritium(TFGT) laga hua hai. Harkati tgt par shist lene ka tariqa diagram mein dikhaya gaya hai
ii) Rear open sight :Open sight ke upar pillar bana hua hai jisse ill round ko chhorkar sabhi round fire kiye ja sakte hain agar firer ko tgt dikhai de raha ho to. Green range scale 441 -950 mtr (0 to 8 tak ank) White range scale 551 -1000 mtr (0 to 8 tak ank) White range scale 651 - 600 mtr (0 to 6 tak ank) Is pillar ko gumaya jata hai jis bhi range scale ki zarurat ho use samne ki taraf rakha jata hai. (b) Telescopic sight se jankari Weight - 800gm Mount - 670gm FOV -12 degree Magnification - 3 guna Sight ek mils line 200 mtr par 30 cm ka farak dalti hai. Material -cost iron Gas - nitrogen 84mmRL ke upar telescopic sight is parkar ki di gai hai ki jisse sabhi parkar ka amn fire kiya jata hai. Sight ke bare main bataun isse pahle zaruri samjhata hoon ki sight ke hisse purjon ke bare main bata doon taki aapko sight ki baki jankari hasil karne main asani ho. Hisse purje. Objective glass, clamping nut, vertical alignment drum, laterally alignment drum, sleeping scale Iske upar RL Mk-II ki tarah hi sleeping scale diya gaya hai jiske upar plus ki taraf 10 mils aur
minus ki taraf bhi 10 mils diye gaye hain. 200 mtr par ek mils ka correction 30cm ka farak dalta hai, iske upar alag alg rangon ke nishan diye gaye hain ,jo ki Neela nishan = 0 deg C se neeche White nishan = 0 se 30 deg C Lal nishan = 30 deg C se upar Bore sighting kar lene ke bad zeroing ke dauran iska istemal kiya jata hai.bar, plunger, hook,rail, thimbal, luminius device, ruber eye piece, eye lence, axel, exchangable knob. Is sight ke upar do exchangable knob di gai hain. (a) knob 551use ILL fire in 20 degree (b) Knob 651use ILL fire in 25 degree Ek samay ek hi knob ka istemal kiya jata hai jo knob istemal nahi ki ja ja rahi hai usko sight ke aage wale axel main phansaya jata hai use alternative knob kahte hain. KNOB 551 Jab ham 551 wali knob ka istemal karte hain to iske upar bhi 02 range scale diye gaye hai white range scale aur green range scale sabse pahle white range scale jab range drum ander ki taraf hota hai to white range scale hasil hota hai, iske upar 0 se 11 tak ke ank likhe hue hai aur 1150 mtr range lagane ki suvidha di gai hai. Har 50 mtr ke liye ek chhota nishan diya gaya hai. Jab rage drum ko 0 par karke bahar ki taraf kheenchte hain to green scale hasil hota hai. Jiske upar 0 se lekar 13 tak ke ank likhe hue hain jo ki 1300 mtr range ko jahir karta hai. 50 mtr range lagane ke liye chhoti chhoti line di gai hai . is sight ke sath ILL round fire karne ke liye ek luminous groove diya gaya hai jisko zamen ke hambar karne se 20 degree ka angle hasil hota hai, raat ke samay is knob ki pahchan ke liye ek katav jise bevil kaha jata hai, jab range drum 0 par hota hai to bevil upar ki taraf hota hai.Is knob ke sath sabhi parkar ke round fire kiye jate hain. HE and Smoke round fire karne ke liye green range scale ka istemal kiya jata hai. HEAT,HEDP fire kiya jata hai. Knob ko utarne ke liye range drum ko 0 par karen bahar wale plunger ko ander ki taraf dabayen aur knob ko bahar ki taraf keenchne se knob bahar nikal jata hai,551 wali knob ko istemal karne main kisi bhi student ka koi swal. Sawal nahi to abhi bataunga 651 wali knob. KNOB 651 Jab ham 651 wali knob ka istemal karte hain to iske upar bhi 02 range scale diye gaye hain, green range scale aur white range scale. Sabse pahle white range scale, jab range drum andar ki taraf hota hai to white range scale hasil hota hai, iske upar 0 se lekar 6 tak ke ank likhe gaye hain jisse 600mtr ka range hasil hota hai, har 50 mtr ka range lagane ke liye chhote chhote nishan diye gaye hain. Jab range drum ko 0 par bahar ki taraf kheencha jata hai to green rg scale hasil hota hai, jiske upar dusri knob ki tarah 13 tak ke ank likhe hue hain,25 degree angle hasil ke liye. Range lagane ka tariqa jitna bhi range mile use round ke hisab se sabse pahle range scale lagayen, uske bad range drum par ,range indicator arm ko us range ke samne mila dene se fire kiye jane wale round ka range hasil ho jata hai. Range lagane ke tariqe main kisi student ka koi sawal.Sawal nahi to is knob ke upar bhi ILL round fire karne ke liye ek luminous groove diya gaya hai jisse zamen ke samanter karne se 25 degree ka angle hasil ho jata hai. Raat ke samay is knob ke upar bana bevil jo ki 0 par karne se apni taraf hota hai, aur luminous device ki madad se range lagane main assani hoti hai jab ham dusre round fire karte hain, is knob se HEAT round 551 ko chhor kar sabhi round fire kiye jate hain. Yeh tha 651 wali knob ko istemal karne ka tariqa, yahan tak kiye gaye bayan aur karwai main kisi student ka koi sawal. Telescopic sight main dekhne se ek retical pattern nazar aata hai jisse aap dekhen model ki madad se. Yeh model telescopic sight ke retical pattern ko darshata hai. Iske upar ek khari line di gai hai jo ki khare tgt par shist lene ke kam main aati hai. Ek pari line di gai hai jo RL ko hambar karne ke kam aati hai. Khari line ke dono taraf pari line ke upar kuchh khari line di gai gai hain, jo ki HEAT round fire karte samay dahine se bayen aur bayen se dahine 5,10,20,30,40, aur 50 km/hr ki speed se chalne bale tk tgt ko engage karne ke liye istemal main lai Edited By : Sec Cdr Course (N)- 90 & 91 RESTRICTED Page No 541 jati hain yahi lines jab HEDP round fire karte samay jab tk tgt dahine se bayen aur bayen se dahine harkat karne wale tk tgt ko 7,14,21,28, aur 35 km/hr ki speed se chalne wale tk tgt ko engage karne main madad karti hain. (c) Night sight Is sight ka istemal raat ke samay kiya jata hai. Sath hi jab fire na karna ho to svl ke liye bhi istemal kiya jata hai.Name sight night vision passive 84mm carl gustak gun 101A Wt - 1.76 kg with mount Wt of mount - 670gm Wt with mount - 2.43 kg Length -265mm Height -122mm Adopter -1.3kg Tripod -6.3kg Tripod height -60cm Tripod hight max -143cm Magnification -5x Fov -9 degree Storage temp - 300c- 650c Operating temp - -300 to 450 c Detection range of human - 400m star moon -300m dark night Tank Detection Rg - 600m star moon Engagement rg of human - 300m star moon - 500m dark night. Tank Engagement Rg - 500m star moon Range estimation Height of estimated vertical line,from right,6,7,8,9,10 feet. In sab vertical line ke upar 3,4,5,6, ki marking ki hui hoti hai. Range estimate lagane ke liye sabse pahle tgt ki height ko vertical line se milayen, jis line ke barabar tgt ke unchai hai tgt ki height utni hi hai. Uske bad range bhi vertical line se hi malum karen. (Mention as diagram in RL mk-II) (d) Bore Sight Adaptor. Iska istemal RL ko boresighting karne ke liye kiya jata hai. Iske bhi do hisse hote hain, front boresight adaptor aur rear boresight adaptor. Front boresight adaptor ko RL ke muzzle ki taraf aur rear boresight adaptor ko chamber ki taraf se andar lagaya jata hai.
Charhane aur utarne ka tariqa:- abhi bataunga bore sight adopter ko fit karne ka tariqa, sabse pahle front bore sight adopter ko len aur uske pare bar ko hambar rakhe aur tikon ko upar ki taraf rakhte hue muzzle ki taraf se fit Karen dekhen is parkar. Abhi bataunga rear bore sight adopter ko fit karne ka tariqa, RL ko cock Karen aur ventury ko khole rear bore sight adopter ko len adopter ko is parkar se pakren ki dono ungliyan katab main ho races aur chamber guide ko milate hue fit Karen aur ventury ko band Karen. Abhi bataunga rear bore sight adopter ko utarne ka tariqa. Front bore sight adopter ko utarne ke liye adopter ko pakren aur bahar ki taraf kheenche aur muzzle se alag Karen. Rear sight adopter ko kholne ke liye ventury ko kholen dono ungliyon ko bore sight ke katav main rakhte hue bahar ki taraf kheenchte hue chamber se alag Karen. Bore sight adopter main kisi student ka koi swal, swal nahi to adopter ko neeche rakhen, up yeh tha bhag no-1 yahan tak kiye gaye bayan tatha karwai main kisi student ka koi swal.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें
If you have any questions please let me know