Major Hoshiyar Singh ( 3 GRENADIERS).

Jeevan Sarni. Maj Hoshiyar Singh ka Janam Rohtak zile ke Sisna gaon mein hua. Unke pita ka naam Sh Hira Singh tha aur unka commission 30 Jun 1963 ko 3 GRENADIERS mein hua.

 Yudh Gatha . 15Dec 1971 mien jab Hindustan aur Pakistan ke bich youd ho raha tha tab GRENADIERS ki ek Bn ko Basantar Nadi ke paar ek bridgehead bane ka hukam mila. Yeh bridgehead Shakargrah ilqe mein banana tha. Maj Hoshiar Singh jo ki baye fwd coy comd kar rahe the, aur unko task mila ki dushman ki ek locality ko Jaspal Ilaqe mein capture karna hai.


Yeh location dushman ke ek kade ghere mein tha aur ek coy strength maujood thi. Aslt ke dauran unki coy arty aur mor ki bhishan bambari ke bich aye aur saath hi dushman ki MMG ne bhi unpar fire khol diya. Buland hausle ke saath apni coy ko ladai mein lead karte hue Maj Hoshiar Singh ne obj apne kaabu mein kar liya. Magar dushman shant na hua aur unki tukdi par teen CA kiye aur unme se do tank ki madad se the,lekin unka bhi unhone muh tod jawab diya.                                                   

 Apne coy cdr ki bahaduri ko dekhte hue coy ke anya sadasyon ne bhi dushman ka jam kar mukabla kiya aur dushman par bhari nuksan pahunchate hue apna task pura kiya. Lekin phir dushman ne 17 Dec 71ko hvy arty se coy location par hamla kiya aur is fire mein Maj Hoshiar Singh buri tarah ghayal ho gaye. Isi dauran dushman ka arty shell coy ke MMG post par aakar  laga aur MMG det cas ho gaya. Maj Hoshiar Singh ne hausla na gawate hue aur MMG ki ahmiyat ko samajhte hue MMG ka morcha sambhala aur dushman par bhari nuksan pahunchaya.Dushman ka yeh hamla nakam ho gaya  aur is OP ke dauran dushman ke 85 sainik aur 4 offrs jinmein unki bn ke commanding offr bhi shamil the mare gaye. Is bahaduri aur advitiya sahas ke liye Maj Hoshiar Singh ko Param Veer Chakra se 17 Dec 1971 mein sammanit kiya. Maj Hoshiar Singh Colonel ki rank par sevanivrit hue.                   

टिप्पणियाँ